Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

kul ambiyaa se afzal 'aalii-maqaam hai.n vo

Purnam Allahabadi

allaah bhejtaa hai jis par salaam hai.n vo

aqsaa me.n kii imaamat saare payambaro.n kii

saare payambaro.n ke be-shak imaam hai vo

nabii-e-sayyad-ul-ambiyaa ke baraabar

na pahle thaa ko.ii na ab hai na hogaa

mohammad kaa saanii mohammad kaa ham-sar

na pahle thaa ko.ii na ab hai na hogaa

un saa na pahle thaa ko.ii na ab hai na hogaa

rasuul aur bhii aa.e jahaan me.n lekin

taahaa-o-yaasiin muzammil

markaze-kul aur husn-e-mukammal

na pahle thaa ko.ii na ab hai na hogaa

nuur-e-mubii.n haq ke qarii.n

farsh-e-makii.n hai.n arsh-e-nashii.n hai.n

nuur-e-munavvar avval-o-aaKHir

raushan-raushan baatin-zaahir

rasuul-e-mujtabaa kahiye

mohammad mustafaa kahiye

KHudaa ke baa'd bas vo hai.n

phir uske baa'd kyaa kahiye

agar hai to ik zaat allaah kii hai

jo zaat-e-mohammad se 'aalaa hai varna

mohammad se 'aalaa mohammad se ba.Dh kar

jise haq ne bulvaayaa 'arsh-e-'ulaa par

hu.aa fazl-e-haq se jo mehmaan-e-daavar

KHudaa kii KHudaa.ii me.n aisaa payambar

zuleKHaa thii.n jis pe fidaa jaan-o-dil se

vo yuusuf ba.De KHuubsuurat the lekin

ruKH-e-mustafaa se hasii.n ruu-e-anvar

nabii saare mahbuub hai.n kibriyaa ke

magar ye bhii sach hai ba-juz mustafaa ke

habiib-e-KHudaa dono.n 'aalam kaa dilbar

ba.Daa.ii mai.n 'purnam' vo baa'd az KHudaa hai.n

shah-e-ambiyaa hai.n shah-e-dosaraa hai.n

bashar un ke rutbe kaa allaahu-akbar

na pahle thaa ko.ii na ab hai na hogaa

the rutbe me.n pahle par aakHir me.n aa.e

bashar un ke rutbe pe qurbaan jaa.e

mohammad saa afzal mohammad saa aakHir

This content features in following collection(s)

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now