sultaan-e-haram ho jaa.e karam kuchh aur talab sarkaar nahii.n

Purnam Allahabadi
MORE BYPurnam Allahabadi
sultaan-e-haram ho jaa.e karam kuchh aur talab sarkaar nahii.n
lillaah suno fariyaad mirii ab meraa ko.ii Gam-KHvaar nahii.n
kyuu.n chashm-e-karam me.n hai derii mushkil to nahii.n mushkil merii
tum chaaho agar aasaa.n ho abhii ye kaam tumhe.n dushvaar nahii.n
hotaa hai nabii se pyaar jise pyaar us ko KHudaa se hotaa hai
allaah kaa pyaar us dil me.n nahii.n jis dil me.n nabii kaa pyaar nahii.n
allaah ne kyaa 'azmat baKHshii soche to ko.ii samjhe to ko.ii
shaayaan-e-dar-o-diivaar-e-nabii kaa'be kii dar-o-diivaar nahii.n
darbaar-e-madiina kyaa kahiye darbaar-e-KHudaa hai ai 'purnam'
darbaar-e-madiina se ba.Dh kar duniyaa me.n ko.ii darbaar nahii.n

- Book : Kulliyat-e-Purnam (Pg. 43)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.