hai fuzuu.n aql se rif.at-e-sayyada
Interesting Fact
منقبت درشان حضرت سیدہ فاطمہ زہرا سلام اللہ علیھا (مدینہ-سعودی عرب)
hai fuzuu.n aql se rif.at-e-sayyada
lafz chun chun ke kar mid.hat-e-sayyada
hai.n habiib-e-KHudaa kii vo laKHt-e-jigar
ho bayaa.n kis tarah ‘azmat-e-sayyada
kul KHvaatiin kī 'izzat hai.n magar
hai sabhii se fuzuu.n 'izzat-e-sayyada
baal-e-jibriil yaa shaaKH-e-tuubaa mile
phir likhuu.n baa-adab mid.hat-e-sayyada
naar se un kii aulaad mahfuuz hai
rab ko manzuur hai hurmat-e-sayyada
us kii qismat pe naazaa.n hai KHuld-e-barii.n
mil ga.ii hai jise nisbat-e-sayyada
rashk se dekhe.n huuraan-e-firdaus bhii
qismat-e-sayyada bahjat-e-sayyada
haq hai lekin na samjhegaa zulmat-zada
markaz-e-nuur hai turbat-e-sayyada
KHuld me.n jaaye ban kar kaniiz-e-batuul
merii maa.n ko mile barakat-e-sayyada
baKHshii jaa.egii har ek bahnaa mirii
jab machal jaa.egii rahmat-e-sayyada
‘haidar’-e-be-navaa vasf kaise likhe
chhaa.ii rahtii hai jab haibat-e-sayyada
hai fuzuu.n aql se rif.at-e-sayyada
lafz chun chun ke kar mid.hat-e-sayyada
hai.n habiib-e-KHudaa kii vo laKHt-e-jigar
ho bayaa.n kis tarah ‘azmat-e-sayyada
kul KHvaatiin kī 'izzat hai.n magar
hai sabhii se fuzuu.n 'izzat-e-sayyada
baal-e-jibriil yaa shaaKH-e-tuubaa mile
phir likhuu.n baa-adab mid.hat-e-sayyada
naar se un kii aulaad mahfuuz hai
rab ko manzuur hai hurmat-e-sayyada
us kii qismat pe naazaa.n hai KHuld-e-barii.n
mil ga.ii hai jise nisbat-e-sayyada
rashk se dekhe.n huuraan-e-firdaus bhii
qismat-e-sayyada bahjat-e-sayyada
haq hai lekin na samjhegaa zulmat-zada
markaz-e-nuur hai turbat-e-sayyada
KHuld me.n jaaye ban kar kaniiz-e-batuul
merii maa.n ko mile barakat-e-sayyada
baKHshii jaa.egii har ek bahnaa mirii
jab machal jaa.egii rahmat-e-sayyada
‘haidar’-e-be-navaa vasf kaise likhe
chhaa.ii rahtii hai jab haibat-e-sayyada
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.