Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

rasuulullaah ke ruKH ke baraabar ho nahii.n saktaa

Shah Akbar Danapuri

MORE BYShah Akbar Danapuri

    rasuulullaah ke ruKH ke baraabar ho nahii.n saktaa

    vo chamke laakh par itnaa munavvar ho nahii.n saktaa

    vahaa.n KHushbuu hai phuulo.n kii yahaa.n hazrat kii 'itriyyat

    iram kaa baaG taiba ke baraabar ho nahii.n saktaa

    kahaa jo aap ne KHaaliq ne vo manzuur farmaayaa

    ko.ii mahbuub-e-haq hazrat se ba.Dh kar ho nahii.n saktaa

    na dekhii suurat-e-haqqii kisii ne Gair haq terii

    ko.ii tujh saa hasii.n allaahu-akbar ho nahii.n saktaa

    jamaal-e-hazrat-e-haq aap ne be-parda dekhaa hai

    kisii ko qurb-e-KHaas aisaa mayassar ho nahii.n saktaa

    madiina kii zamii.n ko arsh-e-a.azam par faziilat hai

    chaluu.n sar se na yaa.n ai jaan-e-muztar ho nahii.n saktaa

    kahuu.n kyaa aab-e-jaa.n baKHsh madiina kii halaavat me.n

    latiif aisaa to hargiz aab-e-kausar ho nahii.n saktaa

    nigaaho.n me.n hai ab tak parda-e-qasr-e-nabii 'akbar'

    ye jalva hashr tak aa.nkho.n se baahar ho nahii.n saktaa

    Source :
    • Book : Jazbat-e-Akbar (Pg. 40)
    • Author :Shah Akbar Danapuri
    • Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1915)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now