bharan phir abr-e-rahmat lutf kii barsaane lagte hai.n
Interesting Fact
منقبت درشان غوث پاک شیخ عبدالقادر جیلانی (بغداد-عراق)
bharan phir abr-e-rahmat lutf kii barsaane lagte hai.n
jo ham mushkil me.n naam-e-Gaus ko dohraane lagte hai.n
sharf ke taaj me.n vo be-bahaa durdaane lagte hai.n
jo zarre paa.nv me.n Gausul-varaa ke aane lagte hai.n
yahaa.n rindo.n ke daaman ko nahii.n chhuuTii hai bad-mastii
vuduudii mai-kade me.n qaadrii paimaane lagte hai.n
'ajab jaa-e-sukuu.n hai aastaana Gaus-e-aazam kaa
jo aa.e.n saaya-e-diivaar me.n sustaane lagte hai.n
tariiqat me.n do aa.nkhe.n hai.n hamaarii Gaus aur KHvaaja
jo dekhe.n ek se vo log ham ko kaane lagte hai.n
KHudaa ne un ko baKHshii hai kuchh aisii shaan-e-mahbuubii
jo dil aate hai.n dar pe Gaus ke nazraane lagte hai.n
ta'alaa allaah paa-e-Gaus se paamaal hone ko
sar itne jhukte hai.n 'as.ad' zamii.n se shaane lagte hai.n

- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 63)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.