Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

agar ho yuu.n raqam tab lutf hai naa't-e-payambar kaa

Shabbir Sajid Mehrvi

MORE BYShabbir Sajid Mehrvi

    agar ho yuu.n raqam tab lutf hai naa't-e-payambar kaa

    syaahii mushk kii ho aur qalam jibra.iil ke par kaa

    dil-e-be-taab samjhaa khul ga.e sarkaar ke gesuu

    hu.aa mahsuus jho.nkaa jab ko.ii kHushbuu-e-'ambar kaa

    buraa huu.n yaa bhalaa huu.n yaa mohammad aap kaa huu.n mai.n

    ba-juz sarkaar ke hai kaun mujh miskiin chaakar kaa

    mere 'aibo.n pe parda Daal diijiye yaa rasuulullaah

    syaah kamlii kaa sadqa vaasta zainab kii chaadar kaa

    hasiin aise ki jin ke husn kaa yuusuf tamannaa.ii

    hasiinaan-e-jahaa.n sadqa hai.n un ke ruu-e-anvar kaa

    mere jurmo.n pe 'saajid' paarsaa.ii naaz kartii hai

    mai.n mujrim huu.n magar kis kaa shafii'-e-roz-e-mahshar kaa

    This content features in following collection(s)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now