saraasar hai rahmat kaa dar allaahu allaah
saraasar hai rahmat kaa dar allaahu allaah
Shah Aayatullah Qadri
MORE BYShah Aayatullah Qadri
saraasar hai rahmat kaa dar allaahu allaah
nabii-e-mukarram kaa ghar allaahu allaah
munavvar munavvar mo.attar mo.attar
madiine kii har rahguzar allaahu allaah
nabii ke hii partav se najm-e-daraKHshaa.n
chamakte hai.n shams-o-qamar allaahu allaah
hai kaunain me.n phailii un hii kii KHushbuu
mo.attar hai har bahr-o-bar allaahu allaah
chamakne lagii dekhte merii qismat
madiine kaa nuur-e-sahar allaahu allaah
vo KHatm-e-rusul aaftaab-e-risaalat
nabuuvat ke hai.n taajvar allaah allaah
madiine kaa manzar hai zau-rez kitnaa
munavvar hai shaam-o-sahar allaahu allaah
vo sab se jamiil aur siirat bhii un kii
hai be-misl aur KHuub-tar allaahu allaah
vo mehraab-o-mimbar vo rauze kii jaalii
vo qad me.n KHairul-bashar allaahu allaah
ajab jaa.n-fizaa sabz-gumbad kaa manzar
hai firdaus aayaa utar allaahu allaah
riyaaz-ul-jannaa.n me.n be-KHiraam aab-e-rahmat
ki jannat me.n hai ik nahr allaahu allaah
ruKH-e-mustafaa kii jhalak par kisii kii
Thahartii nahii.n hai nazar allaahu allaah
yaqiinan hai.n dono.n jahaa.n me.n sarfaraaz
Gulaamaan-e-kHairul-bashar allaahu allaah
sunaataa dil muztarib ke me.n ahvaal
jo hotaa ko.ii naama-bar allaahu allaah
tamannaa hai maGmuum aayat ke dil me.n
madiine kaa phir ho safar allaahu allaah

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.