Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

bayaa.n kab ho sake rutba tumhaaraa yaa rasuulullaah

Shah Abdul Qadir Badayuni

MORE BYShah Abdul Qadir Badayuni

    bayaa.n kab ho sake rutba tumhaaraa yaa rasuulullaah

    ki rutba sab se hai 'aalaa tumhaaraa yaa rasuulullaah

    kHudaa-vand-e-ta'aala ne bulaayaa 'arsh par tum ko

    burraaq-e-KHuld-e-murkkab thaa tumhaaraa yaa rasuulullaah

    KHayaal-o-fikr kaa bhii pahu.nchnaa hai jis jagah mushkil

    qadam be-shak vahaa.n pahu.nchaa tumhaaraa yaa rasuulullaah

    kyaa naazil KHudaa ne aap par jis dam salaam apnaa

    farishto.n me.n hu.aa charchaa tumhaaraa yaa rasuulullaah

    kyaa iqraar sab ne rif'at-e-shaan-e-muqaddas kaa

    pa.Dhaa har ek ne kalima tumhaaraa yaa rasuulullaah

    kyaa rahmat se apnii aap ne ummat ko yaad us dam

    likhuu.n juud-o-karam kyaa-kyaa tumhaaraa yaa rasuulullaah

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now