mohtaaj pe apnii ek nazar yaa shaah-e-sharaf yaa piir-e-sharaf

Shah Hayat Ahmad Firdausi
MORE BYShah Hayat Ahmad Firdausi
Interesting Fact
منقبت در شان مخدومِ جہاں شیخ شرف الدین احمد یحییٰ منیری (بہار شریف-نالندہ)
mohtaaj pe apnii ek nazar yaa shaah-e-sharaf yaa piir-e-sharaf
dar chho.D ke teraa jaa.e.n kidhar yaa shaah-e-sharaf yaa piir-e-sharaf
mushtaaq kii apne le lo KHabar aashufta jaa.n hai jaa.e.n kidhar
ab lutf-o-karam se dekho idhar yaa shaah-e-sharaf yaa piir-e-sharaf
kis shor kaa tuufaa.n hai barpaa ham kis se kahe.n allaah allaah
hai mauj se kashtii zer-o-zabar yaa shaah-e-sharaf yaa piir-e-sharaf
ho jaaye abhii dil rashk-e-jinaa.n khul jaa.e.n ye dil kii sab kaliyaa.n
aa jaa.o jo tum ghar mere agar yaa shaah-e-sharaf yaa shaah-e-sharaf
phir dekho tamaashaa-e-mastii sarshaar-e-mohabbat ko jo bhii
tum jaam-e-mohabbat de do agar yaa shaah-e-sharaf yaa piir-e-sharaf
kyuu.n rabt kisii kaa mujh se 'hayaat' ik chashm-e-zadan me.n chhuuT gayaa
hairaanii ki mere le lo KHabar yaa shaah-e-sharaf yaa piir-e-sharaf

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.