Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

sanaa-KHvaa.n kis tarah ho ko.ii us mahbuub-e-yaktaa kaa

Sufi Tabassum

MORE BYSufi Tabassum

    sanaa-KHvaa.n kis tarah ho ko.ii us mahbuub-e-yaktaa kaa

    zabaa.n mai.n ye kahaa.n qudrat qalam ko ye kahaa.n yaaraa

    vo jis ke ’ilm kii tafsiir alam-nashrah-laka-sadrak

    vo jis ke auj kii ta.abiir sub.haanallazii-asraa

    vo jis ke haath kii jumbish me.n sad zarb-e-kaliimii thii

    vo jis ke aastii.n me.n the nihaa.n laakho.n yad-e-baizaa

    mohammad zaat jis kii baa’is-e-takviin-e-'aalam thii

    mohammad kaarvaa.n saalaar-e-arvaah-e-mujarrad kaa

    jise us roz daras-e-mus.haf-e-asraar azbar thaa

    zabaan-e-'aql-e-kul jab vird kartii thii alif baa kaa

    vo jis ke ruu-e-anvar me.n jamaal-e-sarmadii pinhaa.n

    vo jis kii kuu-e-athar me.n jalaal-e-ezdii paidaa

    Guruur-e-khusravii jis ke vaqaar-e-'azm se larzaa.n

    hisaar-e-kufr jis ke zor-e-iimaa.n se tah-o-baalaa

    jahaan-e-KHaak ne jis se falak kii bartarii paa.ii

    vo jis ke dam-qadam se aur ubhraa aalam-e-baalaa

    usii ke nuur hii se ahl-e-dil kaa qalb hai raushan

    usii ke faiz se ahl-e-nazar kii chashm hai biinaa

    usii kii zaat se qaa.em sabaat-e-’azmat-e-insaa.n

    usii kii zaat se daa.im hayaat-e-millat-e-baiza

    usii kii zaat ham se be-sahaaro.n kaa sahaaraa hai

    usii kii zaat kaa ham be-kaso.n ke sar pe saayaa hai

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Sufi Tabassum (Pg. 63)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now