jahaa.n me.n har taraf phailaa ujaalaa Gaus-e-aa'zam kaa

Syed Amjad Hussain
MORE BYSyed Amjad Hussain
Interesting Fact
منقبت در شان غوث پاک شیخ عبدالقادر جیلانی (بغداد-عراق)
jahaa.n me.n har taraf phailaa ujaalaa Gaus-e-aa'zam kaa
milaa rasto.n ko bhii raushan ishaara Gaus-e-aa'zam kaa
chamaktaa hai falak par bhii sitaara Gaus-e-aa'zam kaa
rahegaa qaa.em-o-daa.em ujaalaa Gaus-e-aa'zam kaa
jahaa.n me.n har taraf chaltaa hai sikka Gaus-e-aa'zam kaa
falak tak guu.njtaa rahtaa hai naa'ra Gaus-e-aa'zam kaa
jo 'ishq-e-mustafaa kaa mo'atabar rahbar banaa ko.ii
vo dariyaa-e-karam se hai piyaala Gaus-e-aa'zam kaa
jo sadiyo.n se jalaa karte the Gam kii tez lapTo.n me.n
vo ab kahte hai.n miltaa hai sahaaraa Gaus-e-aa'zam kaa
qayaamat tak rahegaa jalva un kii shaan-o-'azmat kaa
miTaa saktaa nahii.n ko.ii ujaalaa Gaus-e-aa'zam kaa
qalandar bhii valii bhii 'aashiq-e-maulaa sabhii jhuk kar
bayaa.n karte rahe jalva-aaraa Gaus-e-aa'zam kaa
jahaa.n se luT rahii thii baKHshishe.n sab be-hisaab ab tak
vahii.n se mil gayaa ham ko KHazaana Gaus-e-aa'zam kaa
agar chaaho shafaa'at hashr me.n pakkii to sun lo tum
paka.D lenaa sadaa daaman razaa kaa Gaus-e-aa'zam kaa
mirii KHush-qismatii dekho ki mujh par bhii nazar kar dii
banaa jo kuchh bhii huu.n mai.n bas hai sadqa Gaus-e-aa'zam kaa
lahad me.n jab utar jaa.uu.n to sirhaane pe likh denaa
Gulaamii me.n maraa huu.n mai.n Gulaamaa Gaus-e-aa'zam kaa
jo Duube the gunaaho.n me.n unhe.n saahil milaa aakHir
KHudaa ne de diyaa ham ko sahaaraa Gaus-e-aa'zam kaa
jahaa.n vaale samajhte hai.n jise mushkil kaa hal ko.ii
haqiiqat me.n vahii to hai ishaara Gaus-e-aa'zam kaa
qayaamat tak rahegaa mere lab par bas yahii naa'ra
nishaan bandagii hai ye Gulaamaa Gaus-e-aa'zam kaa
mai.n 'amjad' huu.n Gulaam un kaa karam hotaa hai har lamha
Gulaam-e-mustafaa huu.n aur Gulaamaa Gaus-e-aa'zam kaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.