sharaafat naaz kartii hai siyaasat naaz kartii hai
Interesting Fact
منقبت در شان حضرت امام حسین (کربلا-ایران)
sharaafat naaz kartii hai siyaasat naaz kartii hai
husainii hauslo.n par KHud imaamat naaz kartii hai
husainii sabr ko dekho 'ajab hai hausla us kaa
KHudaa kii raah me.n jis par shahaadat naaz kartii hai
'aduu laakho.n sahii lekin kabhii jhukte nahii.n ham to
hamaarii gardano.n par phir sharaafat naaz kartii hai
nabii ke naam par jiinaa nabii ke naam par marnaa
jo aisaa kar dikhaa.e us pe jannat naaz kartii hai
qalam se haq likhuu.n jab bhii zamaana roktaa mujh ko
magar mere hunar par phir himaayat naaz kartii hai
agar darbaar me.n sar bhii kaTaa duu.n Gam nahii.n ko.ii
merii har aah par dekho imaamat naaz kartii hai
jahaa.n me.n sabr kaa sachchaa dariicha kholne vaale
'alii ke laa'l par dekho riyaasat naaz kartii hai
vafaa kaa haq adaa kar ke jo sar de kar bhii ha.nste hai.n
unhii ke naqsh-e-paa par to 'inaayat naaz kartii hai
hazaaro.n saazishe.n ho.n laakh pahre ho.n zamaane ke
magar islaam par phir bhii amaanat naaz kartii hai
miTaa paayaa nahii.n ko.ii vujuud-e-ahl-e-bait ab tak
qayaamat tak unhii par ye bashaarat naaz kartii hai
KHudaa ke fazl se ham bhii husainii ghar ke KHaadim hai.n
hamaarii justujuu par bhii mohabbat naaz kartii hai
ye 'amjad' naam letaa hai vafaadaaro.n kii bastii kaa
mirii pahchaan par KHud merii qismat naaz kartii hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.