rasaa.ii ’aql-o-daanaa.ii kii harf-e-kun-fakaa.n tak hai

Talha Rizvi Barq
MORE BYTalha Rizvi Barq
rasaa.ii ’aql-o-daanaa.ii kii harf-e-kun-fakaa.n tak hai
shu’uur-o-aagahii ’ishq-e-vajh-e-ii.n-o-aa.n tak hai
hamaaraa naala-e-dil hijr me.n un ke kahaa.n tak hai
zamii.n se aasmaa.n tak aasmaa.n se laa-makaa.n tak hai
hadiis-ए-qudsii-e-laulaak aa.ii shaan me.n jin kii
unhii.n kii jalva-farmaa.ii makaa.n se laa-makaa.n tak hai
bashiirii-o-naziirii hai.n sifaat-e-shaahid-e-mursal
kahe par un ke mar miTnaa hayaat jaavedaa.n tak hai
ye rabb-ul-’aalamii.n kaa rahamtul-lil-'aalamii.n kahnaa
bataa.o ai KHirad vaalo had-e-rahmat kahaa.n tak hai
giraa de.n aa.nkh se jannat madiina dekhne vaale
sahaaraa un kii chaukhaT kaa liye baaG-e-jinaa.n tak hai
Gubaar-e-kuucha-e-jaanaa.n hai surma-e-chashm-e-hasrat kaa
lagaa luu.n qabl us ke KHaak-e-marqad ustuKHvaa.n tak hai
gire un ke tasavvur me.n jo vaqt naza.a chand aa.nsuu
ye marvaariid bhii shaayad shikast-e-riismaa.n tak hai
sukuun-e-qalb-e-muztar hai KHayaal us kaalii kamlii kaa
sar-e-mahshar panaah apnii isii ik saa.ebaa.n tak hai
jaras ho yaa darra jaada ho yaa manzil ki ai rahrav
haqiiqat kaarvaa.n kii ek miir-e-kaarvaa.n tak hai
bahut hii muKHtasar hai qissa-e-taa’at farishto.n kaa
bashar ke dard-e-dil kii daastaa.n aah-o-fuGaa.n tak hai
buraaq-e-kHush-qadam ke sam me.n thii kuchh KHaak us dar kii
unhii.n zarro.n kii taabaanii se raushan kahkashaa.n tak hai
lagii sub.h-e-azal mohr-e-yadullaah fauqa aidiihim
sanad ye dastgiir kii yad-e-piir-e-muGaa.n tak hai
sadaa-e-rabbi-hablii ummatii ziina hai jannat kaa
ye laalii ham siih caro.n kii shaah-e-mursilaa.n tak hai
abul-qaasim mohammad ibn-e-'abdullaah sallallaahu
fidaa un par mire maa.n baap meraa KHaandaa.n tak hai
firaaq-e-dost me.n rone se khiltii hai kalii dil kii
ye sach mash.huur baaG-e-dahr se baaG-e-jinaa.n tak hai
hu.e faizaan-e-'ishq-e-mustafaa se chand she'r apne
ki 'aajiz is zamii.n me.n ‘barq’-saa mo’jiz-bayaa.n tak hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.