ho nazar ham pe ajmer vaale ham ma.ngte hai.n terii galii ke

Abdul Sattar Niazi
MORE BYAbdul Sattar Niazi
Interesting Fact
منقبت درشان غریب نواز خواجہ معین الدین چشتی (اجمیر۔راجستھان)
ho nazar ham pe ajmer vaale ham ma.ngte hai.n terii galii ke
tere lutf-o-karam ke sahaare biit jaa.e.nge din zindagii ke
dar salaamat rahe saaqii daur chalte-chalte mai-kashii ke
KHair ho chisth ke mai-kade kii jaam ham ko bhii de KHvaajgii ke
kar karam sadqa-e-kHvaaja ’usmaa.n bha de faqiiro.n kaa daamaa.n
tere dar ke bhikaarii hai.n KHvaaja ham nahii.n hai.n gadaa har kisii ke
ba.ad muddat hu.ii diid hai terii dekhte hii hu.ii 'iid merii
saamne tum raho yuu.nhii baiThe aa rahe hai.n maze bandagii ke
tere dar se savaalii na jaa.e.n jo bhii aa.e hai.n KHaalii na jaa.e.n
ye jahaa.n vaale ham ko vagarna ta.ane de.nge tirii dostii ke
aaj rakhnaa na mahrūm KHvaaja hai tire faiz kii dhuum KHvaaja
terii mahfil me.n aa.e hai.n ham bhii shohre sun kar tumhaarii chhaTii ke
hai dilo.n par tirii hukmaraanii auliyaa teraa bharte hai.n paanii
shaan-o-shaukat jhukii tere dar par ai mai.n sadqe tirii saadgii ke
Gam ke maaro.n kii hai ye tamannaa tere dar pe rahe aanaa jaanaa
phir bhii ho haazirii tere dar kii aa.e.n lamhe ye phir bhii KHushii ke
ko.ii hai shams ko.ii qamar hai qutbuddiin ko.ii ga.nj-e-shakar hai
mere KHvaaja ne kaise diye hai.n chishtiyo.n ko diye raushnii ke
ho.n 'niyaazii' pe terii 'ataa.e.n chal pa.Dii.n phir karam kii havaa.e.n
sadqa KHvaaja tumhaarii chhaTii kaa sar se baadal chhaTe.n ab Gamii ke

- Book : Kulliyat-e-Niazi (Pg. 67)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.