'usmaa.n ke laa’l aap kaa darbaar hai 'aalii ajmer ke vaalii

Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
Interesting Fact
منقبت درشان غریب نواز خواجہ معین الدین حسن چشتی (اجمیر-راجستھان)
'usmaa.n ke laa'l aap kaa darbaar hai 'aalii ajmer ke vaalii
saa.el tere darbaar se jaataa nahii.n KHaalii ajmer ke vaalii
tuu ibn-e-'alii faatima zahraa kaa dulaaraa sibtain kaa pyaaraa
valiyo.n me.n milii hai tujhe kyaa shaan-e-niraalii ajmer ke vaalii
de-de mujhe kuchh vaalii-e-baGdaad kaa sadqa ajdaad kaa sadqa
bhar de ki miraa daaman-e-ummiid hai KHaalii ajmer ke vaalii
tuu sayyad-e-saadaat hai ai hind ke raaja ajmer ke KHvaaja
KHush-baKHt hai vo jis pe nazar tuu ne hai Daalii ajmer ke vaalii
jaisaa bhii huu.n teraa huu.n buraa huu.n ki bhalaa huu.n Tuk.Do.n pe palaa huu.n
kyuu.n jaa.e kisii dar pe tere dar kaa savaalii ajmer ke vaalii
darashan ko tarastii huu.n mire bhaag jagaa.o ajmer bulaa.o
chuumuu.n mai.n tire rauza-e-pur-nuur kii jaalii ajmer ke vaalii
dhun hai ki 'nasiir' aap ke darbaar me.n pahu.nche sarkaar me.n pahu.nche
lekar dar-e-aqdas pe vo iKHlaas kii Daalii ajmer ke vaalii

- Book : Kulliyat-e-Naseer
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.