ta'aalallaah hai kis shaan kii sarkaar kyaa kahnaa
Interesting Fact
منقبت درشان محبوب الٰہی خواجہ نظام الدین اؤلیا (دہلی،بھارت)
ta'aalallaah hai kis shaan kii sarkaar kyaa kahnaa
ki mahbuub-e-ilaahii kaa hai ye darbaar kyaa kahnaa
charaaG-e-tuur hai raushan kalas rauze ke gumbad kaa
baraste hai.n zamii.n par 'arsh ke anvaar kyaa kahnaa
bashar aa.nkhe.n bichhaane ko adab se kyuu.n na jhuk jaa.e.n
malak hai.n dast basta haazir-e-darbaar kyaa kahnaa
jo aa.nkhe.n dekhtii hai.n dil se kuchh us ke maze puuchho
nigaaho.n par khule hai.n parda-e-asraar kyaa kahnaa
sharaab-e-’ishq se labrez ’irfaa.n saagar-e-dil hai
mai-e-tauhiid se aa.nkhe.n bhii hai.n sarshaar kyaa kahnaa
salaamat mai-kada tujh par KHudaa kii rahmate.n saaqii
kha.De hai.n hauz-e-kausar par tire mai-KHvaar kyaa kahnaa
tire masto.n kii mad-hoshii bhii hushyaarii se achchhii hai
tire mad.hosh mastii me.n bhii hai.n hushiyaar kyaa kahnaa
'ivaz phuulo.n ke laa.uu.n Daaliyaa.n bhar kar duruudo.n kii
pasand aa jaa.e.n to sall-e-'alaa sarkaar kyaa kahnaa
na kyuu.n daarushshifaa samjhe.n ham us darbaar-e-'aalii ko
badaltaa hai yahaa.n sehat se har aazaar kyaa kahnaa
ye e'jaaz-e-masiihaa.ii ki haazir hote hii dar par
tavaanaa hai 'shafaq' saa naa-tavaa.n biimaar kyaa kahnaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.