har ik dil-o-ilaah-o-shaidaa hai mahbuub-e-ilaahii kaa
Interesting Fact
منقبت در شان محبوب الٰہی خواجہ نظام الدین اؤلیا (دہلی-بھارت)
har ik dil-o-ilaah-o-shaidaa hai mahbuub-e-ilaahii kaa
jahaa.n me.n har taraf GauGaa hai mahbuub-e-ilaahii kaa
hame.n kuchh Gam nahii.n ho taabish-e-KHurshiid-e-mahshar se
hamaare sar pe ek saaya hai mahbuub-e-ilaahii kaa
bahut andho.n kii aa.nkhe.n khol dii.n aur kaan bahro.n ke
dam-e-aqdas dam-e-'iisaa hai mahbuub-e-ilaahii kaa
jahaa.n me.n shor-o-GauGaa hai har ik ke sar me.n saudaa hai
jise dekhaa vo diivaana hai mahbuub-e-ilaahii kaa
mazaar-e-paak par qurbaan shab ko chaa.nd hotaa hai
ye din ko mahr parvaana hai mahbuub-e-ilaahii kaa
use 'aalam panaahii hai vo mahbuub-e-ilaahii hai
vo pyaaraa haq kaa haq pyaaraa hai mahbuub-e-ilaahii kaa
nizaamuddiin se husn-e-nizaam diin-o-duniyaa se
par tiir-e-qazaa iimaa hai mahbuub-e-ilaahii kaa
valii hai vo mohammad mustafaa ke diin kaa rahbar
dar-e-fridaus ik kuucha hai mahbuub-e-ilaahii kaa
jahaa.n me.n har kisii ko ik sahaaraa hai bharosa par
Gulaamo.n ko faqat takiya hai mahbuub-e-ilaahii kaa
jo kuchh 'alvii' nasha me.n biktaa rahtaa hai to bikne do
lo ye andaaz-e-mastaana hai mahbuub-e-ilaahii kaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.