der se ham dar-e-daulat pe sadaa dete hai.n
Interesting Fact
منقبت در شان صابر پاک حضرت علاؤالدین علی احمد صابر (کلیر-اتراکھنڈ)
der se ham dar-e-daulat pe sadaa dete hai.n
aaj dekhe.n to ki saabir hame.n kyaa dete hai.n
bhuul jaataa hai jo kaliyar kii terii raah ko.ii
hazrat-e-ganj-e-shakar aa ke bataa dete hai.n
na sahii baKHt me.n kuchh merii magar yaa saabir
aap big.Dii hu.ii taqdiir banaa dete hai.n
chuTkiyaa.n letii hai rah-rah ke jigar kii fariyaad
naala-e-dil mire ruk-ruk ke mazaa dete hai.n
apne bande ko banaa dete hai.n dam me.n sultaan
shaan yuu.n banda-navaazii kii dikhaa dete hai.n
mire saabir tire qurbaa.n mai.n pukaaruu.n kab tak
mu.nh se farmaa.o KHudaa ke liye haa.n dete hai.n
adab aamoz haqiiqat hai.n vo jalve tere
ki sabaq innii-anaa kaa vo pa.Dhaa dete hai.n
rahm kar rahm husain ibn-e-'alii kaa sadqa
tere 'mohtaaj' tire dar pe sadaa dete hai.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.