vaah re shaan KHud-numaa.ii kii
vaah re shaan KHud-numaa.ii kii
jis se buu aatii hai KHudaa.ii kii
tere dar par jo jabha-saa.ii kii
charKH ne KHuub aashnaa.ii kii
mastii me.n va.az kaa KHayaal rahaa
hamne rind me.n paarsaa.ii kii
dil-e-vaarafta teraa kyaa kahnaa
aashiqii me.n hii dil-rubaa.ii kii
vaah re garmii-e-tajallii-e-ishq
bah gayaa koh misl raa.ii kii
pii gayaa bahr aur rahaa qatra
kaisii insaan ne samaa.ii kii
jis ko sab kaa.enaat kahte hai.n
had hai insaan kii rasaa.ii kii
dast-o-paa jab talak rahe 'ulvii'
ishq se KHuub haathaa-paa.ii kii
vaah re shaan KHud-numaa.ii kii
jis se buu aatii hai KHudaa.ii kii
tere dar par jo jabha-saa.ii kii
charKH ne KHuub aashnaa.ii kii
mastii me.n va.az kaa KHayaal rahaa
hamne rind me.n paarsaa.ii kii
dil-e-vaarafta teraa kyaa kahnaa
aashiqii me.n hii dil-rubaa.ii kii
vaah re garmii-e-tajallii-e-ishq
bah gayaa koh misl raa.ii kii
pii gayaa bahr aur rahaa qatra
kaisii insaan ne samaa.ii kii
jis ko sab kaa.enaat kahte hai.n
had hai insaan kii rasaa.ii kii
dast-o-paa jab talak rahe 'ulvii'
ishq se KHuub haathaa-paa.ii kii
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 161)
- Author : Meraj Ahmed Nizami
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.