sharaf-e-ma.aab ai aa.alii vaqaar teG-e-alii
Interesting Fact
منقبت در شان حضرت تیغ علی (مظفر پور۔بہار)
sharaf-e-ma.aab ai aa.alii vaqaar teG-e-alii
tumhaar faqr pe shaahii nisaar teG-e-alii
tamaam umr qiyaam-o-sujuud me.n guzrii
the ek aabid-e-shab zindaa-daar-e-teG-alii
tumhaaraa nayyar-e-iqbaal hai ziyaa-parvar
hai zaat laa.eq-e-sad-iftiKHaar teG-e-alii
banaa hu.aa hai tajallii kaa mahbat-o-masdar
tumhaaraa rauza-e-zarrii.n-nigaar teG-e-alii
tumhaare baaG-e-aqiidat kaa KHosha-chii.n jo hai
hamesha hai vo miyaa.n bahaar teG-e-alii
jalaa.ii tum ne jo qindiil-e-ma.arifat us se
rah-e-suluuk hu.ii nuur-baar teG-e-alii
hai diid-o-daad ke qaabil zamiin sar kaa nahii.n
hai lamha-lamha yahaa.n mushk-baar teG-e-alii
milii hai aap kii zulf-e-karam se aashiq ko
nasiim-o-bahjat subh-e-qaraar teG-e-alii
hamesha tum ne navaazaa hai soch se ba.Dh kar
kabhii dikhaa hii nahii.n iKHtisaar teG-e-alii
use bhii chashm-e-inaayat se mustafiiz kare.n
hai dar-e-'vaasif'-e-isyaa.n shi.aar teGe-alii

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.