hayaat-afzaa nigaar-e-shahar-e-sarkaar-e-madiina hai

Wasif Raza Wasif
MORE BYWasif Raza Wasif
hayaat-afzaa nigaar-e-shahar-e-sarkaar-e-madiina hai
sahaab-e-rahmat-e-baarii ya.nh har dam barastaa hai
dayaar-e-sayyad-e-kaunain ko rif.at milii aisii
ki auj-e-aasmaa.n bhii jis ke aage sar-nihaada hai
ziyaa-e-zarra-e-mahbuub-e-do-aalam se
jabiin-e-maah-e-do-hafta kii tal.at rashk-afzaa hai
shahanshaah-e-madiina kii mohabbat sab pe Gaalib ho
musalmaano kamaal-e-mominiyat kaa taqaazaa hai
talab-gaar-e-naved-e-jannat-ul-firdaus me.n bhii ho.n
mujhe un kii galii me.n jaa ke marne kii tamannaa hai
pha.Daktii hai rag-e-mid.hat lavaa-e-na.at ke niiche
giroh-e-hazrat-e-hassaa.n se meraa bhii ilaaqa hai
talab se bhii sivaa paate hai.n aakar saa.iliin-e-dahr
hamesha josh par bahr-e-ataa-e-shaah-e-taiba hai
may-e-hubb-e-shah-e-baGdaad kii taasiir mat puuchho
na utare zindagii bhar us ke andar aisaa nashsha hai
hu.aa jo bhii asiir-e-gesuu-e-vallail ai 'vaasif'
vo zindaan-e-Gam-o-aalam se aazaad rahtaa hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.