jaan-e-gul jaan-e-fasl-e-bahaaraa.n sarvar-e-anbiyaa aa rahe hai.n

Wasif Raza Wasif
MORE BYWasif Raza Wasif
jaan-e-gul jaan-e-fasl-e-bahaaraa.n sarvar-e-anbiyaa aa rahe hai.n
tahniyat pesh hai ahl-e-iimaa.n sarvar-e-a.nbiyaa aa rahe hai.n
kis qadar lutf-e-aavar hai mausam nasb hai.n har-suu KHushiyo.n ke parcham
hai fazaa-e-jahaa.n nuur-afshaa.n sarvar-e-a.nbiyaa aa rahe hai.n
jin ke sar par hai taaj-e-rafa'naa jin kii tabshiir dete hai.n iisaa
rab kii kul saltanat ke vo sultaa.n sarvar-e-a.nbiyaa aa rahe hai.n
jhuum kar barsaa hai abr-e-rahmat khil rahe hai.n gul-e-kHir-o-barkat
lahlahaane lagii kisht-e-viiraa.n sarvar-e-a.nbiyaa aa rahe hai.n
sham.a-e-zulmat lagii TimTimaane aman kaa har-suu phailaa ujaalaa
ya.anii insaaf kaa mehr-e-taabaa.n sarvar-e-a.nbiyaa aa rahe hai.n
jashn-e-yaum-e-vilaadat manaa.o ghar galii aur mohalle sajaa.o
shaah-raaho.n pe bhii ho charaaGaa.n savar-e-a.nbiyaa aa rahe hai.n
KHatm ho jaa.egii yaas-o-hasrat aur ataa hogaa jaam-e-masarrat
hogaa puuraa har ik dil kaa armaa.n savar-e-a.nbiyaa aa rahe hai.n
jahl kaa ab chhuTegaa a.ndheraa chaar-suu hogii bas zau-iqraar
ilm kii le ke sham-e-daraKHshaa.n savar-e-a.nbiyaa aa rahe hai.n
haath aayaa hai KHushiyo.n kaa gauhar sar pe 'vaasif' hai ke kii chaadar
qalb ahl-e-mohabbat hai shaadaa.n savar-e-a.nbiyaa aa rahe hai.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.