sayyedul-askHiyaa naaz-e-ahl-e-sunan
Interesting Fact
منقبت درشان حضرت امام حسن بن علی المترضیٰ (مدینہ منورہ۔ سعودی عرب)
sayyedul-askHiyaa naaz-e-ahl-e-sunan
ai imaam husn ai imaam husn
aap hai.n ham-shabiih-e-rasuul-e-zaman
ai imaam-e-hasan ai imaam-e-hasan
raaqib-e-dosh-e-KHairul-bashar aap hai.n
bahr-e-taqvaa ke naadir guhar aap hai.n
aap hai.n mard-e-haq mard-e-baatil-shikan
ai imaam-e-hasan ai imaam-e-hasan
aap ko vo siyaasii basiirat milii
diin islaam ko jis se taaqat milii
aap ke fahm par hai fidaa jaan-o-tan
ai imaam-e-hasan ai imaam-e-hasan
aap ko rabb-e-ta.aalaa ne baKHshaa sharf
aap ko maan.ne vaale hai.n har taraf
daastaa.n aap kii hai chaman dar chaman
ai imaam-e-hasan ai imaam-e-hasan
KHuubiyo.n kaa jahaa.n aap kii zaat hai
mustanad motamad aap kii baat hai
aap hai.n bil-yaqii.n rashk-e-sad anjuman
ai imaam-e-hasan ai imaam-e-hasan
fakHr hai ham tumhaarii Gulaamii me.n hai.n
KHuub masruur hai.n nek-naamii me.n hai.n
duur hai ham se har ek ra.nj-o-mehan
ai imaam-e-hasan ai imaam-e-hasan
aap kii KHuu.n se chamke zujaaj-e-hayaat
barse 'vaasif' razaa par gul-e-iltifaat
raah-e-haq par ye har dam rahe gaamzan
ai imaam-e-hasan ai imaam-e-hasan
sayyedul-askHiyaa naaz-e-ahl-e-sunan
ai imaam husn ai imaam husn
aap hai.n ham-shabiih-e-rasuul-e-zaman
ai imaam-e-hasan ai imaam-e-hasan
raaqib-e-dosh-e-KHairul-bashar aap hai.n
bahr-e-taqvaa ke naadir guhar aap hai.n
aap hai.n mard-e-haq mard-e-baatil-shikan
ai imaam-e-hasan ai imaam-e-hasan
aap ko vo siyaasii basiirat milii
diin islaam ko jis se taaqat milii
aap ke fahm par hai fidaa jaan-o-tan
ai imaam-e-hasan ai imaam-e-hasan
aap ko rabb-e-ta.aalaa ne baKHshaa sharf
aap ko maan.ne vaale hai.n har taraf
daastaa.n aap kii hai chaman dar chaman
ai imaam-e-hasan ai imaam-e-hasan
KHuubiyo.n kaa jahaa.n aap kii zaat hai
mustanad motamad aap kii baat hai
aap hai.n bil-yaqii.n rashk-e-sad anjuman
ai imaam-e-hasan ai imaam-e-hasan
fakHr hai ham tumhaarii Gulaamii me.n hai.n
KHuub masruur hai.n nek-naamii me.n hai.n
duur hai ham se har ek ra.nj-o-mehan
ai imaam-e-hasan ai imaam-e-hasan
aap kii KHuu.n se chamke zujaaj-e-hayaat
barse 'vaasif' razaa par gul-e-iltifaat
raah-e-haq par ye har dam rahe gaamzan
ai imaam-e-hasan ai imaam-e-hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.