ho jaaye jo ma.ngtaa shah-e-navaab alii kaa
Interesting Fact
منقبت درشان حضرت نواب علی شاہ حسنی جہاں گیری (فتح پور۔اترا پردیش)
ho jaaye jo ma.ngtaa shah-e-navaab alii kaa
muhtaaj vo duniyaa me.n rahegaa na kisii kaa
KHaak-e-dar-e-navaab alii sar pe sajaa le
jis shaKHs ko ho shauq bahut taaj-varii kaa
letaa hai sabaq maktab-e-navaab alii me.n
tab jaa ke ko.ii bantaa hai diivaana alii kaa
hujra shah-e-navaab kaa jis shaKHs ko mil jaa.e
karataa nahii.n diidaar kisii baara-darii kaa
chuume.n dar-e-navaab ko aa aa ke shu.aa.e.n
suuraj bhii adab karataa hai navaab alii kaa
bujh jaa.o sitaaro.n kii tarah un kii galii me.n
mil jaaygaa andaaz tumhe.n raahbarii kaa
ma.ngtaa na kisii aur kaa dar dekhne jaaye
Tuk.Daa jo mile la.ngar-e-navaab alii kaa
KHvaahish shah-e-navaab ke dar par hu.ii puurii
sochaa thaa ki siikhun.ngaa hunar shiishagarii kaa
'yaavar' shah-e-navaab jise kahtii hai duniyaa
be-misl shahanshaah hai pandrahvii.n sadii kaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.