zindagii kaa hai maza to aap ke darbaar me.n

Ishtiyaque Alam Shahbazi
MORE BYIshtiyaque Alam Shahbazi
Interesting Fact
منقبت در شان حضرت شہباز محمد (بھاگل پور-بہار)
zindagii kaa hai maza to aap ke darbaar me.n
hai KHudaa vaalo.n kii jannat kuucha-e-dildaar me.n
ham pe bhii chashm-e-karam farmaa.iye maKHduum-e-man
aaj ham bhii aa.gaye hai.n 'ishq kii sarkaar mai.n
baadshaaho.n ko 'ataa kii saltanat taaj-e-shahii
kuchh 'ataa kar de.n idhar bhii daaman-e-naadaar me.n
ik nazar jis par pa.Dii vo aap hii kaa ho gayaa
kyaa 'ajab taasiir hai husn-o-jamaal-e-yaar me.n
shaahbaaz-e-laa-makaanii aap hii ke faiz se
manqabat ke phuul khilte hai.n mire ash'aar me.n
hai ‘ziyaa’-e-be-sar-o-saamaan mohtaaj-e-karam
sunte hai.n shaan-e-kariimii hai tirii sarkaar me.n

- Book : Jalwa-e-Gul Lafz-ba-Lafz (Pg. 113)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.