ye shaadii kaa manzar hai kyaa pyaaraa-pyaaraa

mubaarak ho tum ko KHushii kaa nazaaraa
KHushii se chamaktaa hai duulhaa kaa chehraa
mubaarak ho shaadii mubaarak ho sehraa
ye paiGaam detii hai.n sehre kii la.Diyaa.n
KHudaa ne dikhaa.ii.n masarrat kii gha.Diyaa.n
'aziizo.n ke dil kii kalii khil ga.ii hai
ki baap aur maa.n ko bahuu mil ga.ii hai
luTaatii hai ulfat KHushii kaa KHazaana
bahaaro.n ne chhe.Daa hai dil-kash taraana
mile hai.n muqaddar se kyaa nek dono.n
KHudaayaa rahe.n 'umr-bhar ek dono.n
ilaahii unhe.n is tarah shaad rakhnaa
mohabbat se ghar un kaa aabaad rakhnaa
sadaa chamke dono.n kii qismat kaa taaraa

kaho dosto.n se ha.nse.n aur jhuume.n
nigaaho.n se duulhaa ke sehre ko chuume.n
mahakne lage pyaar ke phuul har suu
rachii hai dilo.n me.n mohabbat kii KHushbuu
gulo.n ke labo.n par ha.nsii kheltii hai
tamannaa.o.n se zindagii kheltii hai
hai maujuud 'ishrat kaa saamaan puuraa
hu.aa aaj shaadii kaa armaan puuraa
khilii hai dilo.n me.n masarrat kii kaliyaa.n
ki maa.n-baap bhaa.ii-bahan sab hai.n shaadaa.n
milaa hai ye rishta bhii kyaa pyaaraa-pyaaraa
mubaarak ho tum ko KHushii kaa nazaara
ye shaadii kaa manzar hai kyaa pyaaraa pyaaraa
mubaarak ho shaadii ye dulhaa-dulhan ko
mubaarak ho dono.n ke bhaa.ii-bahan ko
KHushii kii gha.Dii hai KHushii kaa samaa.n hai
dilo.n me.n mohabbat kaa 'aalam javaa.n hai
hai.n masruur is vaqt duulhaa miyaa.n bhii
yahii ra.ng hai ab dulhan ke yahaa.n bhii
dikhaayaa hai dono.n ko ye din KHudaa ne
ki bajte hai.n dono.n ke ghar shaadiyaane
gharaane pe un ke ye lutf-e-KHudaa hai
KHudaa se ye 'anvar' hamaarii du'aa hai
bane.n dono.n ik duusre kaa sahaaraa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.