Font by Mehr Nastaliq Web

jis se ki ba.Dhe pyaas vo paimaana hai us kaa

Arsh Gayavi

MORE BYArsh Gayavi

    Interesting Fact

    مخمس بر غزل خواجہ حیدر علی آتشؔ

    jis se ki ba.Dhe pyaas vo paimaana hai us kaa

    hai.n jis me.n ki sab mast vo mai-KHaana hai us kaa

    'aalam kii zabaa.n par yahii afsaana hai us kaa

    husn-e-parii ik jalva-e-mastaana hai us kaa

    hushiyaar vahii hai ki jo diivaana hai us kaa

    har-chand vo zaahir hai magar phir bhii hai ruu-posh

    kyaa tujh ko KHabar hosh kii le tuu ki hai behosh

    be-vajah nahii.n taa.ir-e-zar charKH pe KHaamosh

    gul aate hai.n hastii me.n ’adam se hama-tan gosh

    bulbul kaa ye naala nahii.n afsaana hai us kaa

    mahbuub hue ahl-e-hashm us ke hasham se

    mamnuun hue ahl-e-karam us ke karam se

    is uqda-e-dushvaar ko hal kar kahii.n ham se

    yuusuf nahii.n jo haath lage chand diram se

    qiimat jo do-’aalam kii hai bai'aana hai us kaa

    dekhaa nahii.n ai 'arsh' magar martaa hai 'aatish'

    dam-KHam nahii.n go us me.n ye dam bhartaa hai 'aatish'

    haq yuu.n hai ki marne se nahii.n Dartaa hai 'aatish'

    shukraana-e-saaqii-e-azal kartaa hai 'aatish'

    labrez mai-e-shauq se paimaana hai us kaa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now