pesh-e-haq kuchh tiraa namuuna rahe
Interesting Fact
تضمین بر خمسۂ امیر بینائی۔
pesh-e-haq kuchh tiraa namuuna rahe
na rahe man zamiir-e-uu na rahe
tan-o-jaa.n dil se taar muu na rahe
tuu ko itnaa miTaa ki tuu na rahe
tujh se terii du.ii kii buu na rahe
ye talaash kamaal-e-parda hai
kHvaahish-e-zauq-o-haal-e-parda hai
kuchh bhii hai gar KHayaal parda hai
aarzuu-e-visaal-e-parda hai
aarzuu hai ki aarzuu na rahe
qaal kab tak hai haal paidaa kar
'ishq me.n kuchh kamaal paidaa kar
ko.ii miTne kii chaal paidaa kar
huu me.n itnaa visaal paidaa kar
ki sivaa huu KHayaal-e-huu na rahe
yaa.n pa.Daa kyuu.n hai faaqa-mastii se
jaa nikal is ujaa.D bastii se
chal bulandii ko aisii pastii se
chaar-suu kii saraa-e-hastii se
bhaag aisaa ki chaar-suu na rahe
ye talab bhii maqaam pastii hai
ki KHudii kii ye saarii mastii hai
kyaa fanaa ko.ii aisii hastii hai
justujuu bhii hijaab-e-pastii hai
sach to ye hai ki justujuu na rahe
jis ke dil me.n yaqiin jaisaa ho
fahm-o-idraak us kaa vaisaa ho
ham se gar puuchhte ho kaisaa ho
'ilm-e-tauhiid ho to aisaa ho
kufr-o-islaam kaa Guluu na rahe
'ulvii' kis martaba kii hai taqdiir
is ko samjhegaa ko.ii mard-e-faqiir
mere dil par to kar ga.ii taasiir
hai kisii mast kaa kallaa 'amiir'
jaam baaqii rahe subuu na rahe
pesh-e-haq kuchh tiraa namuuna rahe
na rahe man zamiir-e-uu na rahe
tan-o-jaa.n dil se taar muu na rahe
tuu ko itnaa miTaa ki tuu na rahe
tujh se terii du.ii kii buu na rahe
ye talaash kamaal-e-parda hai
kHvaahish-e-zauq-o-haal-e-parda hai
kuchh bhii hai gar KHayaal parda hai
aarzuu-e-visaal-e-parda hai
aarzuu hai ki aarzuu na rahe
qaal kab tak hai haal paidaa kar
'ishq me.n kuchh kamaal paidaa kar
ko.ii miTne kii chaal paidaa kar
huu me.n itnaa visaal paidaa kar
ki sivaa huu KHayaal-e-huu na rahe
yaa.n pa.Daa kyuu.n hai faaqa-mastii se
jaa nikal is ujaa.D bastii se
chal bulandii ko aisii pastii se
chaar-suu kii saraa-e-hastii se
bhaag aisaa ki chaar-suu na rahe
ye talab bhii maqaam pastii hai
ki KHudii kii ye saarii mastii hai
kyaa fanaa ko.ii aisii hastii hai
justujuu bhii hijaab-e-pastii hai
sach to ye hai ki justujuu na rahe
jis ke dil me.n yaqiin jaisaa ho
fahm-o-idraak us kaa vaisaa ho
ham se gar puuchhte ho kaisaa ho
'ilm-e-tauhiid ho to aisaa ho
kufr-o-islaam kaa Guluu na rahe
'ulvii' kis martaba kii hai taqdiir
is ko samjhegaa ko.ii mard-e-faqiir
mere dil par to kar ga.ii taasiir
hai kisii mast kaa kallaa 'amiir'
jaam baaqii rahe subuu na rahe
- Book : KHumkhana-e-Azli (Pg. 119)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.