na kyuu.n kar ham ho.n qurbaan-e-mohammad
na kyuu.n kar ham ho.n qurbaan-e-mohammad
ba.De hai.n ham pe ehsaan-e-mohammad
malaa.ik hai.n sanaa-KHvaan-e-mohammad
falak hai zer-e-daamaan-e-mohammad
ba.Dii hai arsh se shaan-e-mohammad
saraasar hai vo shaan-e-haq kaa jalvaa
use dekhaa to goyaa haq ko dekhaa
usii kii lau me.n dil jaltaa hai meraa
charaaG-e-maah hai parvaana jis kaa
vo hai sham’-e-shabistaan-e-mohammad
tamannaa hai ye apnii ab to har-dam
jo maulaa hai hamaaraa faKHr-e-aadam
dikhaa ab us kaa rauza rabb-e-akram
hu.aa vo baa’is-e-iijaad-e-'aalam
ba.Daa hai ham pe ehsaan-e-mohammad
mohammad kaa 'ajab rauza hai ziishaa.n
ki jis se qudrat-e-haq hai numaayaa.n
farishte hote hai.n jaa-jaa ke qurbaa.n
kahuu.n kyuu.n kar na mai.n darbaa.n ko rizvaa.n
ki jannat hai gulistaan-e-mohammad
yahii kahte hai.n mushtaaqaan-e-haq-juu
na ho dam-bhar jo mehr-e-shaah-e-KHush-kHuu
na haasil ho tajallii mehr-o-mah ko
charaaG-e-aasmaa.n ik dam me.n gul ho
na ho gar zer-e-daamaan-e-mohammad
na kyuu.n kar ham ho.n qurbaan-e-mohammad
ba.De hai.n ham pe ehsaan-e-mohammad
malaa.ik hai.n sanaa-KHvaan-e-mohammad
falak hai zer-e-daamaan-e-mohammad
ba.Dii hai arsh se shaan-e-mohammad
saraasar hai vo shaan-e-haq kaa jalvaa
use dekhaa to goyaa haq ko dekhaa
usii kii lau me.n dil jaltaa hai meraa
charaaG-e-maah hai parvaana jis kaa
vo hai sham’-e-shabistaan-e-mohammad
tamannaa hai ye apnii ab to har-dam
jo maulaa hai hamaaraa faKHr-e-aadam
dikhaa ab us kaa rauza rabb-e-akram
hu.aa vo baa’is-e-iijaad-e-'aalam
ba.Daa hai ham pe ehsaan-e-mohammad
mohammad kaa 'ajab rauza hai ziishaa.n
ki jis se qudrat-e-haq hai numaayaa.n
farishte hote hai.n jaa-jaa ke qurbaa.n
kahuu.n kyuu.n kar na mai.n darbaa.n ko rizvaa.n
ki jannat hai gulistaan-e-mohammad
yahii kahte hai.n mushtaaqaan-e-haq-juu
na ho dam-bhar jo mehr-e-shaah-e-KHush-kHuu
na haasil ho tajallii mehr-o-mah ko
charaaG-e-aasmaa.n ik dam me.n gul ho
na ho gar zer-e-daamaan-e-mohammad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.