namii daanam ki ii.n mardum kiyaanand
Interesting Fact
خمسہ برغزل شیخ سعدیؔ۔
namii daanam ki ii.n mardum kiyaanand
ki yaaraa.n rafta-o-kHuud ba-guzraanand
dilaa pesh aa.n ki ii.n 'aalam baraanand
be-figan KHema taa-mahal baraanand
ki ham-raahaan-e-aa.n 'aalam ravaanand
miyaa.n us jaa ba-juz zaat-e-kHudaavand
na bhaa.ii hai ko.ii apnaa na farzand
na ho duniyaa ke rishto.n me.n tuu paaband
zan-o-farzand yaar-o-kHvesh-o-paivand
biraadar kHvaandagaan-e-kaarvaanand
jahaa.n tak ye tamaashe hai.n muqaabil
are naadaan ye sab hai.n naqsh-e-baatil
agar daanaa tuu ai mard-e-'aaqil
na-baayadestan andar sohbate dil
ki be-iishaa.n ba-maanii taa ba-maanand
takabbur me.n na kar 'umr apnii barbaad
machaa mat apne haatho.n daad-bedaad
tujhe kyaa aah ye nukta nahii.n yaad
na avval KHaak buudast aadmii-zaad
ba-aaKHir chuu.n ba-yanadeshii hamaanand
tava.ngar kyaa Ganii kyaa shaah darvesh
amiir-e-vaqt kyaa muhtaaj dil-resh
sabho.n ko ek din chalnaa hai darpesh
pas aa.n behtar ki avval aaKHir KHvesh
ba-yanadeshand-o-qadr-e-KHuud ba-daanand
saraasar kaam me.n duniyaa ke gande
Guruu-o-kibar me.n mat apnaa tan de
zaraa tuu dekh le KHaaliq ke bande
zamii.n chande ba-kHuurd az kHalq-o-chande
ki ehaa paadshaan-e-jahaanand
ye vo hai.n jin ke tan the gore gore
murassaa' jaam-o-zarrii.n aab KHore
ba.De the saltanat ke un ke tore
ba-guftam taKHta-e-barkan za-gore
ba-bii.n taa-paa-o-shah paasbaanand
kahaa.n hai un kii vo shaan-o-jalaalat
kahaa.n vo taaj-o-takHat-o-mulk-o-daulat
ye san kar mujh se vo saahib karaamat
ba-guftaa takHta-e-barkandan che haajat
ki mii-daanam ki musht-e-ustukHvaanand
gha.Dii kii 'umr ho yaa laakh kaa sin
'naziir' is bazm se chalnaa hai ik din
jo ho biimaar zaahir yaa ki baatin
nasiihat daaruu-e-talkHast-o-lekin
za-daarad kHaana-e-'saadii' sitaadand
namii daanam ki ii.n mardum kiyaanand
ki yaaraa.n rafta-o-kHuud ba-guzraanand
dilaa pesh aa.n ki ii.n 'aalam baraanand
be-figan KHema taa-mahal baraanand
ki ham-raahaan-e-aa.n 'aalam ravaanand
miyaa.n us jaa ba-juz zaat-e-kHudaavand
na bhaa.ii hai ko.ii apnaa na farzand
na ho duniyaa ke rishto.n me.n tuu paaband
zan-o-farzand yaar-o-kHvesh-o-paivand
biraadar kHvaandagaan-e-kaarvaanand
jahaa.n tak ye tamaashe hai.n muqaabil
are naadaan ye sab hai.n naqsh-e-baatil
agar daanaa tuu ai mard-e-'aaqil
na-baayadestan andar sohbate dil
ki be-iishaa.n ba-maanii taa ba-maanand
takabbur me.n na kar 'umr apnii barbaad
machaa mat apne haatho.n daad-bedaad
tujhe kyaa aah ye nukta nahii.n yaad
na avval KHaak buudast aadmii-zaad
ba-aaKHir chuu.n ba-yanadeshii hamaanand
tava.ngar kyaa Ganii kyaa shaah darvesh
amiir-e-vaqt kyaa muhtaaj dil-resh
sabho.n ko ek din chalnaa hai darpesh
pas aa.n behtar ki avval aaKHir KHvesh
ba-yanadeshand-o-qadr-e-KHuud ba-daanand
saraasar kaam me.n duniyaa ke gande
Guruu-o-kibar me.n mat apnaa tan de
zaraa tuu dekh le KHaaliq ke bande
zamii.n chande ba-kHuurd az kHalq-o-chande
ki ehaa paadshaan-e-jahaanand
ye vo hai.n jin ke tan the gore gore
murassaa' jaam-o-zarrii.n aab KHore
ba.De the saltanat ke un ke tore
ba-guftam taKHta-e-barkan za-gore
ba-bii.n taa-paa-o-shah paasbaanand
kahaa.n hai un kii vo shaan-o-jalaalat
kahaa.n vo taaj-o-takHat-o-mulk-o-daulat
ye san kar mujh se vo saahib karaamat
ba-guftaa takHta-e-barkandan che haajat
ki mii-daanam ki musht-e-ustukHvaanand
gha.Dii kii 'umr ho yaa laakh kaa sin
'naziir' is bazm se chalnaa hai ik din
jo ho biimaar zaahir yaa ki baatin
nasiihat daaruu-e-talkHast-o-lekin
za-daarad kHaana-e-'saadii' sitaadand
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.