yuu.n to aksar tujhe baalaa-e-zamii.n dekh liyaa
Interesting Fact
خمسہ بر غزل مولانا حافظ سید فضل غوث ساقیؔ بریلوی
yuu.n to aksar tujhe baalaa-e-zamii.n dekh liyaa
sar uThaayaa to sar-e-'arsh-e-barii.n dekh liyaa
tuu vo jalva hai jahaa.n chaahaa vahii.n dekh liyaa
ham ne dar-parda tujhe maah-e-jabii.n dekh liyaa
ab na kar parda ki ai parda-nashii.n dekh liyaa
saat pardo.n me.n kiyaa go ruKH-e-raushan pinhaa.n
miim ban kar tuu ahad me.n ho laa-raib nihaa.n
dekhne vaalo.n ne par Dhuu.nD liye tere nishaa.n
ham nazar-baazo.n se tuu chhup na sakaa jaan-e-jahaa.n
jis jagah jaa ke chhupaa ham ne vahii.n dekh liyaa
shuhra-e-husn tiraa qasr-e-jinaa.n me.n paayaa
tujh ko mausuuf farishto.n kii zabaa.n me.n paayaa
ham ne charchaa tiraa har ek jahaa.n me.n paayaa
naam mash.huur tiraa kaun-o-makaa.n me.n paayaa
laa-makaa.n kaa tujhe kahte hai.n makii.n dekh liyaa
Dhuu.nDhte phirte the ek 'arsa se muztar ho tujhe
ek din gosha-e-tauhiid me.n paayaa jo tujhe
shaan maa'buud kii samjhe hai.n yahaa.n ham to tujhe
tere diidaar kii thii ham ko tamannaa so tujhe
log dekhe.nge vahaa.n ham ne yahii.n dekh liyaa
tuu ne dekhe jo nishaa.n 'aql na pahu.nchegii vahaa.n
kyaa karuu.n un kaa bayaa.n 'aql na pahu.nchegii vahaa.n
kyaa hai jibriil kii jaa.n 'aql na pahu.nchegii vahaa.n
'ishq pahu.nchaa hai jahaa.n 'aql na pahu.nchegii vahaa.n
zer-e-sidrah hii rahaa ruuh-e-amii.n dekh liyaa
nuur-e-vahdat kaa to kasrat me.n nishaa.n hai be-shak
saaraa 'aalam hai jasad aur tu jaa.n hai be-shak
baa'd allaah ke teraa hii bayaa.n hai be-shak
tujh sivaa hai jo vo sab vahm-o-gumaa.n hai be-shak
ab to insaaf se kah haa.n ki nahii.n dekh liyaa
sach hai har husn me.n mamluu hai kamaal-e-jaanaa.n
aa.nkh hove to har ek shai hai kamaal-e-jaanaa.n
kyuu.n dilaa dekh liyaa faiz-e-KHayaal-e-jaanaa.n
rahnumaa ho hii gayaa apnaa jamaal-e-jaanaa.n
yaad vo aa gayaa jo ruu-e-hasii.n dekh liyaa
terii mid.hat me.n zabaa.n KHaama-e-avval kii hii laal
faal me.n haal nahii.n haal ko aa jaataa hai haal
KHabar-e-KHudaa kaun samajh saktaa hai teraa ahvaal
tuu hai vo nuur-e-musaffaa ki nahii.n teraa misaal
gah zamii.n gaah sar-e-'arsh-e-barii.n dekh liyaa
vahm ban kar hu.e laakho.n merii vaa.n tak pherii
kHuub ab jaan liyaa ho ga.ii bilkul sairii
jalva-e-haq se hai miltii hu.ii suurat terii
sun ke haq-biinii kaa mazmuun Gazal me.n merii
ahl-e-tahqiiq kahe.nge ki kahii.n dekh liyaa
zikr-e-mahbuub hai hoshyaaro.n ko mai-guu.n saaqii
dekh 'taalib' ki ye sab phirte hai.n maftuu.n saaqii
zaahediin-e-'ishq me.n maKHmuur hai.n majnuu.n saaqii
us se puuchhe ko.ii tauhiid kii mazmuun saaqii
jis ne ahmad ko ahad ke hai qarii.n dekh liyaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.