ai mere data ai mere malik ai mere maula ai mere wali
ai mere data ai mere malik ai mere maula ai mere wali
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
Interesting Fact
مناجات۔
ai mire daatā ai mire mālik ai mire maulā ai mire vaalī
shāhanshāh-e-do-'ālam tū hai sab se tirī sarkār hai 'aalī
shaan tirī har aan na.ī hai gaah jamālī gaah jalālī
vo bhī 'ajab kHush-vaqt hai jis ne qalb meñ terī yaad basā lī
shuġhl mirā bas ab to ilāhī shām-o-sahar ho allāh allāh
leTe-baiThe chalte-phirte āTh-pahar ho allāh allāh
kasab meñ duniyā hī ke rahā maiñ diin kī daulat kuchh na kamā.ī
vaqt yūñhī be-kār guzārā 'umr yūñhī ġhaflat meñ gañvā.ī
ḳhalq meñ sab se maiñ hī burā huuñ koī nahīñ hai mujh meñ bhalā.ī
mujh sā koī bad-kār na hogā kaun sī maiñ ne kī na burā.ī
shuġhl mirā bas ab to ilāhī shām-o-sahar ho allāh allāh
leTe-baiThe chalte-phirte āTh-pahar ho allāh allāh
zikr kī ab taufīq ho yā-rab kaam kā ye nākām ho terā
qalb meñ har dam yaad ho terī lab pe hamesha naam ho terā
tujh se bahut rahtā hai gurezāñ ab dil-e-vahshī raam ho terā
mujh ko ab istiqlāl 'atā kar puḳhta bas ab ye ḳhaam ho terā
shuġhl mirā bas ab to ilāhī shām-o-sahar ho allāh allāh
leTe-baiThe chalte-phirte āTh-pahar ho allāh allāh
zikr tirā kar kar ke ilāhī duur karūñ maiñ dil kī siyāhī
chhoḌ kar hubb-e-mālī-o-jāhī ab to karūñ bas faqr meñ shāhī
shām-o-sahar hai shuġhl-e-manāhī mere gunah haiñ lā-mutanāhī
kis se kahūñ maiñ apnī tabāhī tū hī mirī kar pusht-panāhī
shuġhl mirā bas ab to ilāhī shām-o-sahar ho allāh allāh
leTe-baiThe chalte-phirte āTh-pahar ho allāh allāh
nafs ke shar se mujh ko bachā le ai mire allāh ai mire allāh
panja-e-ġham se mujh ko chhuḌā le ai mire allāh ai mire allāh
sun mire naale sun mire naale ai mire allāh ai mire allāh
apnā banā le apnā banā le ai mire allāh ai mire allāh
shuġhl mirā bas ab to ilāhī shām-o-sahar ho allāh allāh
leTe-baiThe chalte-phirte āTh-pahar ho allāh allāh
apnī razā meñ mujh ko miTā de ai mire allāh ai mire allāh
kar de fanā sab mere irāde ai mire allāh ai mire allāh
jām-e-mohabbat apnā pilā de ai mire allāh ai mire allāh
dil meñ mirī yaad apnī rachā de ai mire allāh ai mire allāh
shuġhl mirā bas ab to ilāhī shām-o-sahar ho allāh allāh
leTe-baiThe chalte-phirte āTh-pahar ho allāh allāh
dīda-o-dil meñ tujh ko basā luuñ sab se haTā luuñ apnī nazar maiñ
terā hī jalva pesh-e-nazar ho jā۔ūñ kahīñ maiñ dekhūñ jidhar maiñ
terā tasavvur aisā jamā luuñ qalb meñ misl-e-naqsh-e-hijr maiñ
bhuul sakūñ tā 'umr na tujh ko chāhūñ bhulānā ḳhud bhī agar maiñ
shuġhl mirā bas ab to ilāhī shām-o-sahar ho allāh allāh
leTe-baiThe chalte-phirte āTh-pahar ho allāh allāh
zaat hai terī sab se nirālī shaan hai terī fahm se 'aalī
us ko terī vahdat hai mushāhid jis kā hai dil aġhyār se ḳhālī
tere shavāhid bahr-o-bar gardūñ zamīñ ayyām-o-layālī
zarra zarra qatra qatra patta patta Daalī Daalī
shuġhl mirā bas ab to ilāhī shām-o-sahar ho allāh allāh
leTe-baiThe chalte-phirte āTh-pahar ho allāh allāh
kunh tirī hai fahm se 'aalī vasf tirā hai 'aql se baalā
tere haiñ lākhoñ mānñe vaale koī nahīñ hai jānñe vaalā
terī mohabbat ruuh kī lazzat terā tasavvur dil kā ujālā
nutq ne mere chuum liye lab naam tirā jab muñh se nikālā
shuġhl mirā bas ab to ilāhī shām-o-sahar ho allāh allāh
leTe-baiThe chalte-phirte āTh-pahar ho allāh allāh
apnā mujhe 'majzūb' banā le terā hī saudā ho mire sar meñ
terī mohabbat ho rag-o-pai meñ jaan meñ tan meñ dil meñ jigar meñ
shaad rahūñ maiñ rañj-o-ḳhushī meñ sūd-o-ziyāñ meñ naf'-o-zarar meñ
farq na dekhūñ shāh-o-gadā meñ durr-o-sadaf meñ lā'l-o-hajar meñ
shuġhl mirā bas ab to ilāhī shām-o-sahar ho allāh allāh
leTe-baiThe chalte-phirte āTh-pahar ho allāh allāh
ai mere data ai mere malik ai mere maula ai mere wali
shahanshah-e-do-'alam tu hai sab se teri sarkar hai 'ali
shan teri har aan nai hai gah jamali gah jalali
wo bhi 'ajab kHush-waqt hai jis ne qalb mein teri yaad basa li
shughl mera bas ab to ilahi sham-o-sahar ho allah allah
leTe-baiThe chalte-phirte aaTh-pahar ho allah allah
kasab mein duniya hi ke raha main din ki daulat kuchh na kamai
waqt yunhi be-kar guzara 'umr yunhi ghaflat mein ganwai
KHalq mein sab se main hi bura hun koi nahin hai mujh mein bhalai
mujh sa koi bad-kar na hoga kaun si main ne ki na burai
shughl mera bas ab to ilahi sham-o-sahar ho allah allah
leTe-baiThe chalte-phirte aaTh-pahar ho allah allah
zikr ki ab taufiq ho ya-rab kaam ka ye nakaam ho tera
qalb mein har dam yaad ho teri lab pe hamesha nam ho tera
tujh se bahut rahta hai gurezan ab dil-e-wahshi ram ho tera
mujh ko ab istiqlal 'ata kar puKHta bas ab ye KHam ho tera
shughl mera bas ab to ilahi sham-o-sahar ho allah allah
leTe-baiThe chalte-phirte aaTh-pahar ho allah allah
zikr tera kar kar ke ilahi dur karun main dil ki siyahi
chhoD kar hubb-e-mali-o-jahi ab to karun bas faqr mein shahi
sham-o-sahar hai shughl-e-manahi mere gunah hain la-mutanahi
kis se kahun main apni tabahi tu hi meri kar pusht-panahi
shughl mera bas ab to ilahi sham-o-sahar ho allah allah
leTe-baiThe chalte-phirte aaTh-pahar ho allah allah
nafs ke shar se mujh ko bacha le ai mere allah ai mere allah
panja-e-gham se mujh ko chhuDa le ai mere allah ai mere allah
sun mere nale sun mere nale ai mere allah ai mere allah
apna bana le apna bana le ai mere allah ai mere allah
shughl mera bas ab to ilahi sham-o-sahar ho allah allah
leTe-baiThe chalte-phirte aaTh-pahar ho allah allah
apni raza mein mujh ko miTa de ai mere allah ai mere allah
kar de fana sab mere irade ai mere allah ai mere allah
jam-e-mohabbat apna pila de ai mere allah ai mere allah
dil mein meri yaad apni racha de ai mere allah ai mere allah
shughl mera bas ab to ilahi sham-o-sahar ho allah allah
leTe-baiThe chalte-phirte aaTh-pahar ho allah allah
dida-o-dil mein tujh ko basa lun sab se haTa lun apni nazar main
tera hi jalwa pesh-e-nazar ho ja۔un kahin main dekhun jidhar main
tera tasawwur aisa jama lun qalb mein misl-e-naqsh-e-hijr main
bhul sakun ta 'umr na tujh ko chahun bhulana KHud bhi agar main
shughl mera bas ab to ilahi sham-o-sahar ho allah allah
leTe-baiThe chalte-phirte aaTh-pahar ho allah allah
zat hai teri sab se nirali shan hai teri fahm se 'ali
us ko teri wahdat hai mushahid jis ka hai dil aghyar se KHali
tere shawahid bahr-o-bar gardun zamin ayyam-o-layali
zarra zarra qatra qatra patta patta Dali Dali
shughl mera bas ab to ilahi sham-o-sahar ho allah allah
leTe-baiThe chalte-phirte aaTh-pahar ho allah allah
kunh teri hai fahm se 'ali wasf tera hai 'aql se baala
tere hain lakhon manne wale koi nahin hai jaanne wala
teri mohabbat ruh ki lazzat tera tasawwur dil ka ujala
nutq ne mere chum liye lab nam tera jab munh se nikala
shughl mera bas ab to ilahi sham-o-sahar ho allah allah
leTe-baiThe chalte-phirte aaTh-pahar ho allah allah
apna mujhe 'majzub' bana le tera hi sauda ho mere sar mein
teri mohabbat ho rag-o-pai mein jaan mein tan mein dil mein jigar mein
shad rahun main ranj-o-KHushi mein sud-o-ziyan mein naf'-o-zarar mein
farq na dekhun shah-o-gada mein durr-o-sadaf mein la'l-o-hajar mein
shughl mera bas ab to ilahi sham-o-sahar ho allah allah
leTe-baiThe chalte-phirte aaTh-pahar ho allah allah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.