ai mere maula meri nazar mein tu hi tu ho tu hi tu
ai mere maula meri nazar mein tu hi tu ho tu hi tu
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
Interesting Fact
مناجات۔
ai mire maulā merī nazar meñ tū hī tū ho tū hī tū
sab to hoñ bāhar dil ke andar tū hī tū ho tū hī tū
qalb-e-tapāñ meñ dīda-e-tar meñ tū hī tū ho tū hī tū
mere liye to bahr-o-bar meñ tū hī tū ho tū hī tū
kuchh na sujhā.ī de mujhe hargiz laakh hoñ manzar pesh-e-nigāh
il-lallāh il-lallāh il-lallāh il-lallāh
sūjhe mujh ko donoñ jahāñ meñ tū hī tū bas tū hī tū
sūjhe mujh ko kaun-o-makāñ meñ tū hī tū bas tū hī tū
sūjhe mujh ko qālib-o-jāñ meñ tū hī tū bas tū hī tū
sūjhe mujh ko sūd-o-ziyāñ meñ tū hī tū bas tū hī tū
kuchh na sujhā.ī de mujh ko hargiz laakh hoñ manzar pesh-e-nigāh
il-lallāh il-lallāh il-lallāh il-lallāh
jaan se bhī jo mujh ko hai pyārā tū hai tū haañ tū hai tū
jis ke liye sab kuchh hai gavārā tū hai tū haañ tū hai tū
donoñ jahāñ meñ merā sahārā tū hai tū haañ tū hai tū
merī naa.u kā ḳhevan-hārā tū hai tū haañ tū hai tū
kuchh na sujhā.ī de mujh ko hargiz laakh hoñ manzar pesh-e-nigāh
il-lallāh il-lallāh il-lallāh il-lallāh
jūd-o-karam kī shān-e-gadā ko khul kar ab ai shaah dikhā
qurb-e-ḳhās ’atā farmā aivān kī apne raah dikhā
jalva ab to khule bandoñ hī bas ai mere maah dikhā
parda uThā de nuur apnā har vaqt dikhā har gaah dikhā
kuchh na sujhā.ī de mujh ko hargiz laakh hoñ manzar pesh-e-nigāh
il-lallāh il-lallāh il-lallāh il-lallāh
aa.e nazar zarra zarra meñ saaf terī qudrat mujh ko
'ālam-e-kasrat bhī ho jaa.e ā.īna-e-vahdat mujh ko
bāġh-e-jahāñ meñ to mahsūs ab ho misl-e-nak.hat mujh ko
mashq-e-tasavvur itnī baḌhe jalvat bhī ho ik ḳhalvat mujh ko
kuchh na sujhā.ī de mujh ko hargiz laakh hoñ manzar pesh-e-nigāh
il-lallāh il-lallāh il-lallāh il-lallāh
aisā samā jā merī nazar meñ jalva tirā dekhūñ har sū
ġhaibat dam-bhar ko bhī na ho har vaqt rahūñ maiñ rū-dar-rū
mere liye bāzār-e-jahāñ ho sar-ba-sar ik maidān-e-hū
tū hī tū ho tū hī tū ho tū hī tū ho tū hī tū
kuchh na sujhā.ī de mujh ko hargiz laakh hoñ manzar pesh-e-nigāh
il-lallāh il-lallāh il-lallāh il-lallāh
fazl-o-karam se apne 'atā kar zindagī-e-jāved mujhe
nafs se nā-umīd huuñ maiñ tujh se hai magar ummīd mujhe
ab to sarāpā diid banā de terā shauq-e-dīd mujhe
har shai ik ā.īna ho har zarra ho ik ḳhurshīd mujhe
kuchh na sujhā.ī de mujh ko hargiz laakh hoñ manzar pesh-e-nigāh
il-lallāh il-lallāh il-lallāh il-lallāh
zarra-zarra qatra-qatra ratb-o-yābis bahr-o-bar
nūr-o-nār-o-auj-o-pastī kufr-o-īmāñ ḳhair-o-shar
ek zabāñ hokar ye sab ke sab dete haiñ terī ḳhabar
tere aage hech hai har shai tū hī hai sab se bartar
kuchh na sujhā.ī de mujh ko hargiz laakh hoñ manzar pesh-e-nigāh
il-lallāh il-lallāh il-lallāh il-lallāh
merī nazar meñ sab yaksāñ hoñ koī gadā ho yā ho shaah
hoñ na zarā mar’ūb kisī se koī ho kitnā hī zī-jāh
rāz-e-vahdat se tū kar de dil ko mere yā-rab āgāh
mere liye ho jaa.eñ barābar bāġh-o-saharā koh-o-kāh
kuchh na sujhā.ī de mujh ko hargiz laakh hoñ manzar pesh-e-nigāh
il-lallāh il-lallāh il-lallāh il-lallāh
banda-e-maqbūl apnā banā aur kar na kabhī mardūd mujhe
baḳhsh ḳhudāyā husn-e-kHitām-o-'āqibat mahmūd mujhe
jalva tirā us tuur se ho har lahza bas ab mash.hūd mujhe
tere sivā 'ālam meñ nazar aa.e na koī maujūd mujhe
kuchh na sujhā.ī de mujh ko hargiz laakh hoñ manzar pesh-e-nigāh
il-lallāh il-lallāh il-lallāh il-lallāh
ai mere maula meri nazar mein tu hi tu ho tu hi tu
sab to hon bahar dil ke andar tu hi tu ho tu hi tu
qalb-e-tapan mein dida-e-tar mein tu hi tu ho tu hi tu
mere liye to bahr-o-bar mein tu hi tu ho tu hi tu
kuchh na sujhai de mujhe hargiz lakh hon manzar pesh-e-nigah
il-lallah il-lallah il-lallah il-lallah
sujhe mujh ko donon jahan mein tu hi tu bas tu hi tu
sujhe mujh ko kaun-o-makan mein tu hi tu bas tu hi tu
sujhe mujh ko qalib-o-jaan mein tu hi tu bas tu hi tu
sujhe mujh ko sud-o-ziyan mein tu hi tu bas tu hi tu
kuchh na sujhai de mujh ko hargiz lakh hon manzar pesh-e-nigah
il-lallah il-lallah il-lallah il-lallah
jaan se bhi jo mujh ko hai pyara tu hai tu han tu hai tu
jis ke liye sab kuchh hai gawara tu hai tu han tu hai tu
donon jahan mein mera sahaara tu hai tu han tu hai tu
meri nau ka KHewan-haara tu hai tu han tu hai tu
kuchh na sujhai de mujh ko hargiz lakh hon manzar pesh-e-nigah
il-lallah il-lallah il-lallah il-lallah
jud-o-karam ki shan-e-gada ko khul kar ab ai shah dikha
qurb-e-KHas ’ata farma aiwan ki apne rah dikha
jalwa ab to khule bandon hi bas ai mere mah dikha
parda uTha de nur apna har waqt dikha har gah dikha
kuchh na sujhai de mujh ko hargiz lakh hon manzar pesh-e-nigah
il-lallah il-lallah il-lallah il-lallah
aae nazar zarra zarra mein saf teri qudrat mujh ko
'alam-e-kasrat bhi ho jae aaina-e-wahdat mujh ko
bagh-e-jahan mein to mahsus ab ho misl-e-nakhat mujh ko
mashq-e-tasawwur itni baDhe jalwat bhi ho ek KHalwat mujh ko
kuchh na sujhai de mujh ko hargiz lakh hon manzar pesh-e-nigah
il-lallah il-lallah il-lallah il-lallah
aisa sama ja meri nazar mein jalwa tera dekhun har su
ghaibat dam-bhar ko bhi na ho har waqt rahun main ru-dar-ru
mere liye bazar-e-jahan ho sar-ba-sar ek maidan-e-hu
tu hi tu ho tu hi tu ho tu hi tu ho tu hi tu
kuchh na sujhai de mujh ko hargiz lakh hon manzar pesh-e-nigah
il-lallah il-lallah il-lallah il-lallah
fazl-o-karam se apne 'ata kar zindagi-e-jawed mujhe
nafs se na-umid hun main tujh se hai magar ummid mujhe
ab to sarapa did bana de tera shauq-e-did mujhe
har shai ek aaina ho har zarra ho ek KHurshid mujhe
kuchh na sujhai de mujh ko hargiz lakh hon manzar pesh-e-nigah
il-lallah il-lallah il-lallah il-lallah
zarra-zarra qatra-qatra ratb-o-yabis bahr-o-bar
nur-o-nar-o-auj-o-pasti kufr-o-iman KHair-o-shar
ek zaban hokar ye sab ke sab dete hain teri KHabar
tere aage hech hai har shai tu hi hai sab se bartar
kuchh na sujhai de mujh ko hargiz lakh hon manzar pesh-e-nigah
il-lallah il-lallah il-lallah il-lallah
meri nazar mein sab yaksan hon koi gada ho ya ho shah
hon na zara mar’ub kisi se koi ho kitna hi zi-jah
raaz-e-wahdat se tu kar de dil ko mere ya-rab aagah
mere liye ho jaen barabar bagh-o-sahara koh-o-kah
kuchh na sujhai de mujh ko hargiz lakh hon manzar pesh-e-nigah
il-lallah il-lallah il-lallah il-lallah
banda-e-maqbul apna bana aur kar na kabhi mardud mujhe
baKHsh KHudaya husn-e-kHitam-o-'aqibat mahmud mujhe
jalwa tera us tur se ho har lahza bas ab mashhud mujhe
tere siwa 'alam mein nazar aae na koi maujud mujhe
kuchh na sujhai de mujh ko hargiz lakh hon manzar pesh-e-nigah
il-lallah il-lallah il-lallah il-lallah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.