bolta quran
ḳhaak par nūr-e-ḳhudā jism meñ Dhal kar utrā
ek qur.ān-e-ḳhad-o-ḳhāl bhī ham par utrā
na.e rañgoñ se murattab sahar-o-shām hue
chashm-e-kaunain meñ bīnā.ī kā paikar utrā
kis qadar ājiz-o-miskīñ thī bulandī us kī
kursī-e-arsh liye ġhaar ke andar utrā
itnī ūñchā.iyoñ pe naqsh-e-qadam haiñ kis ke
itnī gahrā.iyoñ meñ kaun shināvar utrā
yuuñ huī ruuh ko mahsūs mohabbat us kī
jaise āġhosh meñ dariyā ke samundar utrā
jab kabhī tan kī muñDeroñ se uḌāyā hai use
tā.ir-e-dil isī dīvār ke uupar utrā
rahmateñ ā.eñgī sau rañg chhiḌakne ke liye
merī tauba kā jo chehra sar-e-mahshar utrā
us ke qadmoñ se tasavvur bhī huā duur agar
yuuñ lagā taḳht se jis tarh 'muzaffar' utrā
KHak par nur-e-KHuda jism mein Dhal kar utra
ek quran-e-KHad-o-KHal bhi hum par utra
nae rangon se murattab sahar-o-sham hue
chashm-e-kaunain mein binai ka paikar utra
kis qadar aajiz-o-miskin thi bulandi us ki
kursi-e-arsh liye ghaar ke andar utra
itni unchaiyon pe naqsh-e-qadam hain kis ke
itni gahraiyon mein kaun shinawar utra
yun hui ruh ko mahsus mohabbat us ki
jaise aaghosh mein dariya ke samundar utra
jab kabhi tan ki munDeron se uDaya hai use
tair-e-dil isi diwar ke upar utra
rahmaten aaengi sau rang chhiDakne ke liye
meri tauba ka jo chehra sar-e-mahshar utra
us ke qadmon se tasawwur bhi hua dur agar
yun laga taKHt se jis tarh 'muzaffar' utra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.