dar bayan-e-urs hazrat-salim-chishti
hai ye majma.a niko sarishtī kā
zikr kiyā yaañ gunah ke zishtī kā
bahr hai ārifoñ kī kashtī kā
faḳhr hai harf sar-navishtī kā
rashk hai gulshan-e-bahishtī kā
urs hazrat-'salīm'-chishtī kā
bāġh-e-jannat hai aaj ye dargāh
phuul phūle haiñ faiz ke dil-ḳhvāh
dekh rizvāñ bahār yaañ kī vaah
dil meñ kahtā dam-ba-dam vallāh
rashk hai gulshan-e-bahishtī kā
urs hazrat-'salīm'-chishtī kā
ye tajallī sīm-o-zar se hai
abr-e-rahmat kā nuur barse hai
hūr-o-ġhilmāñ kī ruuh tarse hai
aur ishāra yahī nazar se hai
rashk hai gulshan-e-bahishtī kā
urs hazrat-'salīm'-chishtī kā
sahn-e-dargah hai baaġh aur bustān
aur haiñ zardār sab gul-o-raihān
jis meñ sab phuul phuul ho shādāñ
yahī kahte haiñ har ghaḌī har aan
rashk hai gulshan-e-bahishtī kā
urs hazrat-'salīm'-chishtī kā
bas-ki ḳhilqat bharī hai lālñ-lāl
ghar-makān hai guloñ se mālā-māl
husn raag aur mashā.iḳh ke haal
bhiiḌ ġhul shor or ye qāl-maqāl
rashk hai gulshan-e-bahishtī kā
urs hazrat-'salīm'-chishtī kā
khil rahā hai chaman jo faiz bharā
jharnā goyā hai hauz-e-jannat kā
qudsiyāñ dekh vo bahisht-sarā
sab pukāreñ haiñ yuuñ ahāhāhā
rashk hai gulshan-e-bahishtī kā
urs hazrat-'salīm'-chishtī kā
kitne dargah meñ faiz uThāte haiñ
kitne jharne haiñ jā nahāte haiñ
kitne nazr-o-niyāz laate haiñ
kitne ḳhush ho yahī sunāte haiñ
rashk hai gulshan-e-bahishtī kā
urs hazrat-'salīm'-chishtī kā
urs dargāh ke jo dekhā vaah
aur hī gul khile haiñ ḳhātir-ḳhvāh
bulbuloñ kī tarah se jhuk kar aah
sab yahī kar rahe haiñ kar ke nigāh
rashk hai gulshan-e-bahishtī kā
urs hazrat-'salīm'-chishtī kā
hai baham duur duur kā aalam
sabz-o-surḳh-o-safed-o-zard ham
sab ḳhushī ho ke joñ gul shabnam
dekh saireñ ye kahte haiñ har-dam
rashk hai gulshan-e-bahishtī kā
urs hazrat-'salīm'-chishtī kā
bhiiḌ amboh ḳhalaq kī taksīr
bādashāh-o-gadā-o-amīr-o-vazīr
tifl-o-pīr-o-javān ġharīb-o-faqīr
par sabhoñ kī zabāñ pe ye taqrīr
rashk hai gulshan-e-bahishtī kā
urs hazrat-'salīm'-chishtī kā
kitne nazroñ se zaḳhmī hote haiñ
kitne dil apnā muft khote haiñ
kitne ulfat ke tuḳhm bote haiñ
kitne motī khaḌe pirote haiñ
rashk hai gulshan-e-bahishtī kā
urs hazrat-'salīm'-chishtī kā
kitne vaañ sīm-tan bhī phirte haiñ
ġhuncha-lab gul-badan bhī phirte haiñ
shoḳh gul-pairahan bhī phirte haiñ
dil-rubā dil-shikan bhī phirte haiñ
rashk hai gulshan-e-bahishtī kā
urs hazrat-'salīm'-chishtī kā
ārif-ul-haq miyāñ alī-ahmad
un kī ḳhūbī 'nazīr' se behad
sab pukāre haiñ ḳhalaq behad va.ad
rashk hai gulshan-e-bahishtī kā
urs hazrat-'salīm'-chishtī kā
hai ye majma niko sarishti ka
zikr kiya yan gunah ke zishti ka
bahr hai aarifon ki kashti ka
faKHr hai harf sar-nawishti ka
rashk hai gulshan-e-bahishti ka
urs hazrat-'salim'-chishti ka
bagh-e-jannat hai aaj ye dargah
phul phule hain faiz ke dil-KHwah
dekh rizwan bahaar yan ki wah
dil mein kahta dam-ba-dam wallah
rashk hai gulshan-e-bahishti ka
urs hazrat-'salim'-chishti ka
ye tajalli sim-o-zar se hai
abr-e-rahmat ka nur barse hai
hur-o-ghilman ki ruh tarse hai
aur ishaara yahi nazar se hai
rashk hai gulshan-e-bahishti ka
urs hazrat-'salim'-chishti ka
sahn-e-dargah hai bagh aur bustan
aur hain zardar sab gul-o-raihan
jis mein sab phul phul ho shadan
yahi kahte hain har ghaDi har aan
rashk hai gulshan-e-bahishti ka
urs hazrat-'salim'-chishti ka
bas-ki KHilqat bhari hai laln-lal
ghar-makan hai gulon se mala-mal
husn rag aur mashaiKH ke haal
bhiD ghul shor or ye qal-maqal
rashk hai gulshan-e-bahishti ka
urs hazrat-'salim'-chishti ka
khil raha hai chaman jo faiz bhara
jharna goya hai hauz-e-jannat ka
qudsiyan dekh wo bahisht-sara
sab pukaren hain yun ahahaha
rashk hai gulshan-e-bahishti ka
urs hazrat-'salim'-chishti ka
kitne dargah mein faiz uThate hain
kitne jharne hain ja nahate hain
kitne nazr-o-niyaz late hain
kitne KHush ho yahi sunate hain
rashk hai gulshan-e-bahishti ka
urs hazrat-'salim'-chishti ka
urs dargah ke jo dekha wah
aur hi gul khile hain KHatir-KHwah
bulbulon ki tarah se jhuk kar aah
sab yahi kar rahe hain kar ke nigah
rashk hai gulshan-e-bahishti ka
urs hazrat-'salim'-chishti ka
hai baham dur dur ka aalam
sabz-o-surKH-o-safed-o-zard hum
sab KHushi ho ke jon gul shabnam
dekh sairen ye kahte hain har-dam
rashk hai gulshan-e-bahishti ka
urs hazrat-'salim'-chishti ka
bhiD amboh KHalaq ki taksir
baadashah-o-gada-o-amir-o-wazir
tifl-o-pir-o-jawan gharib-o-faqir
par sabhon ki zaban pe ye taqrir
rashk hai gulshan-e-bahishti ka
urs hazrat-'salim'-chishti ka
kitne nazron se zaKHmi hote hain
kitne dil apna muft khote hain
kitne ulfat ke tuKHm bote hain
kitne moti khaDe pirote hain
rashk hai gulshan-e-bahishti ka
urs hazrat-'salim'-chishti ka
kitne wan sim-tan bhi phirte hain
ghuncha-lab gul-badan bhi phirte hain
shoKH gul-pairahan bhi phirte hain
dil-ruba dil-shikan bhi phirte hain
rashk hai gulshan-e-bahishti ka
urs hazrat-'salim'-chishti ka
aarif-ul-haq miyan ali-ahmad
un ki KHubi 'nazir' se behad
sab pukare hain KHalaq behad wad
rashk hai gulshan-e-bahishti ka
urs hazrat-'salim'-chishti ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.