shaharyaran-e-qana’at ke the afsar chand
Interesting Fact
منقبت در شان حضرت چاند شاہ نقشبندی (ٹانڈہ-اتر پردیش)
shaharyārān-e-qanā’at ke the afsar chāñd
jis tarh sab aḳhtaroñ kā hai ye aḳhtar chāñd shaah
qutb the aur jāguzīñ the qutb ke mānind vo
misl-e-sūraj ke nahīñ phirte the dar-dar chāñd shaah
boriyā-e-faqr par baiThe vo aise shauq se
tā-dam-e-murdan na uTThe us se dam bhar chāñd shaah
thī qanā'at aur tavakkul aap kī ruuhī ġhizā
kuchh nahīñ rakhte the hirs-e-lā’l-o-gauhar chāñd shaah
ganj-e-qārūñ gar koī detā na rakhte apne paas
saaf kar dete the dam-bhar meñ luTā kar chāñd shaah
pheñkte ḳhāshāk ke mānind apne haath se
be-takalluf kīsa-e-lā’l-o-dar-o-zar chāñd shaah
ḳharch un kā dekh kar kahte the duniyā-dār yuuñ
dast-e-ġhaib un ko hai yā haiñ kīmiyā-gar chāñd shaah
ittibā’-e-sunnat-e-nabavī kā aisā thā ḳhayāl
bar-ḳhilāf us ke na chalte mū barābar chāñd shaah
'āshiq-e-sunnat the nafrat thī unheñ bid’at se saḳht
jānte the bid’atī ko ḳhar se bad-tar chāñd shaah
kyā majāl us ko ki rakkhe dil meñ duniyā kī havas
shauq se puurī tavajjoh karte jis par chāñd shaah
saikḌoñ ko kar diyā darvesh-e-kāmil aap ne
kyuuñ na ho kāmil the aur kāmil ke afsar chāñd shaah
aap kā dil ā.īna se bhī ziyāda saaf thā
bil-yaqīñ anvār-o-’irfāñ ke the manzar chāñd shaah
dekhte the ā.īna kī tarah anvār-e-ḳhudā ko
rakhte the pahlū meñ aisā qalb-e-anvār chāñd shaah
shaharyaran-e-qana’at ke the afsar chand
jis tarh sab aKHtaron ka hai ye aKHtar chand shah
qutb the aur jaguzin the qutb ke manind wo
misl-e-suraj ke nahin phirte the dar-dar chand shah
boriya-e-faqr par baiThe wo aise shauq se
ta-dam-e-murdan na uTThe us se dam bhar chand shah
thi qana'at aur tawakkul aap ki ruhi ghiza
kuchh nahin rakhte the hirs-e-la’l-o-gauhar chand shah
ganj-e-qarun gar koi deta na rakhte apne pas
saf kar dete the dam-bhar mein luTa kar chand shah
phenkte KHashak ke manind apne hath se
be-takalluf kisa-e-la’l-o-dar-o-zar chand shah
KHarch un ka dekh kar kahte the duniya-dar yun
dast-e-ghaib un ko hai ya hain kimiya-gar chand shah
ittiba’-e-sunnat-e-nabawi ka aisa tha KHayal
bar-KHilaf us ke na chalte mu barabar chand shah
'ashiq-e-sunnat the nafrat thi unhen bid’at se saKHt
jaante the bid’ati ko KHar se bad-tar chand shah
kya majal us ko ki rakkhe dil mein duniya ki hawas
shauq se puri tawajjoh karte jis par chand shah
saikDon ko kar diya darwesh-e-kaamil aap ne
kyun na ho kaamil the aur kaamil ke afsar chand shah
aap ka dil aaina se bhi ziyaada saf tha
bil-yaqin anwar-o-’irfan ke the manzar chand shah
dekhte the aaina ki tarah anwar-e-KHuda ko
rakhte the pahlu mein aisa qalb-e-anwar chand shah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.