Sufinama

umas

MORE BYNazeer Akbarabadi

    kyā abr garmī meñ ghaḌī pahar hai umas

    garmī ke baḌhāne ajab lahar hai umas

    paanī se pasīnoñ baḌī nahr hai umas

    har baaġh meñ har dasht meñ har shahar hai umas

    barsāt ke mausam meñ nipaT zahar hai umas

    sab chiiz to achchhī hai par ek qahr hai umas

    badlī ke jo ghir aane se hotī hai havā band

    phir band garmī vo ġhazab paḌtī hai yak chand

    pheñke koī pagḌī koī khole hai khaḌā band

    dam ruk ke ghulā jaatā hai garmī se har ek band

    barsāt ke mausam meñ nipaT zahar hai umas

    sab chiiz to achchhī hai par ek qahr hai umas

    idhar to pasīnoñ se paḌī bhīge haiñ khāTaiñ

    garmī se udhar miil kuchh chyūñTiyāñ kāTeñ

    kapḌā jo pahaniye to pasīne use āTaiñ

    nañgā jo badan rakhiye to phir makkhiyāñ chāTeñ

    barsāt ke mausam meñ nipaT zahar hai umas

    sab chiiz to achchhī hai par ek qahr hai umas

    rukne se havā ke jo burā hotā hai ahvāl

    pañkhā koī āñchal koi dāman koī rumāl

    dam dhoñkne lagtā hai lohāroñ goyā ḳhaal

    kuchh ruuh ko betābiyāñ kuchh jaan ko janjāl

    barsāt ke mausam meñ nipaT zahar hai umas

    sab chiiz to achchhī hai par ek qahr hai umas

    umas meñ to lāzim hai na pañkhā na havā ho

    ek koTharī ho jis meñ dhuāñ ḳhuub bharā ho

    aur makkhiyoñ ke vāste guḌ tan se malā ho

    us vaqt maza dekhiye umas ki kyā ho

    barsāt ke mausam meñ nipaT zahar hai umas

    sab chiiz to achchhī hai par ek qahr hai umas

    kya abr ki garmi mein ghaDi pahar hai umas

    garmi ke baDhane ki ajab lahar hai umas

    pani se pasinon ki baDi nahr hai umas

    har bagh mein har dasht mein har shahar hai umas

    barsat ke mausam mein nipaT zahar hai umas

    sab chiz to achchhi hai par ek qahr hai umas

    badli ke jo ghir aane se hoti hai hawa band

    phir band si garmi wo ghazab paDti hai yak chand

    phenke koi pagDi koi khole hai khaDa band

    dam ruk ke ghula jata hai garmi se har ek band

    barsat ke mausam mein nipaT zahar hai umas

    sab chiz to achchhi hai par ek qahr hai umas

    idhar to pasinon se paDi bhige hain khaTain

    garmi se udhar mil ki kuchh chyunTiyan kaTen

    kapDa jo pahaniye to pasine use aaTain

    nanga jo badan rakhiye to phir makkhiyan chaTen

    barsat ke mausam mein nipaT zahar hai umas

    sab chiz to achchhi hai par ek qahr hai umas

    rukne se hawa ke jo bura hota hai ahwal

    pankha koi aanchal koi daman koi rumal

    dam dhonkne lagta hai lohaaron ki goya KHal

    kuchh ruh ko betabiyan kuchh jaan ko janjal

    barsat ke mausam mein nipaT zahar hai umas

    sab chiz to achchhi hai par ek qahr hai umas

    umas mein to lazim hai na pankha na hawa ho

    ek koThari ho jis mein dhuan KHub bhara ho

    aur makkhiyon ke waste guD tan se mala ho

    us waqt maza dekhiye umas ka ki kya ho

    barsat ke mausam mein nipaT zahar hai umas

    sab chiz to achchhi hai par ek qahr hai umas

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now