aadi purūsh nirgun nirādhār kī yaad kar
mere guru parvardigār kī yaad kar
jinne maaya ajab banā.ī
us vastād kī yaad kar
gaibī ḳhajīnā ham ne diyā
us sāheb kī yaad kar
sant mahañt kī yaad kar
gunī gunvant kī yaad kar
jog jugat kā bāñdhā toḌā
sham dam kā siir par jamlā chhoḌā
samtā jo hī suhāve turā
guru garūḌī biir purā
nain chiir ke painhī mudrā
kaan phaaḌ ke khāye nidrā
anhad dhavni dhunak baaje
nāg-sur dhunuk garje
chal chal chal
niranjan jañgal ke jivḌe
khelnā hoy to ulaT drishTi se khel
aabī karūñgā terā tamāsha
pail terī munDī kāTūñgā
saap sab bhule bichu kiḌe
parpañch ke koTharī meñ aake paḌe
baḌe-baḌe jānvar paale
hare laal safet
ujle kaale pile bhale be bhalā hāñDī baag
abhīmān jivḌe jhuT muT chipīch laḌhe
nahiñ kahūñ to brahmāñD kāTne daure
dekho miyā haaye hāy-hāy
Dñkh maarā be Dñkh maarā
so baḌ baḌe ku nahīñ utārā
jab guru gyaan kā lagāyā mohara
zahar utārā
dekho miyā bājegirī viddyā khel
hauḌhībāg baḌā albelā
haat halāve paañv halāve
bhāle bhole lok bhulāve
aa be hāñDī baag
baap baḌā kyā beTā baḌā
beTe aage baap khaḌā
guru baḌā kyā chelā baḌā
chele aage guru khaḌā
chelā to prem mahel par chaḌhā
dhani baḌā kyā chākar baḌā
chākar aage dhanī khaḌā
saas baḌī kyā bahū baḌī
bahu aage saas khaḌī
biibī baḌī kyā bāñdī baḌī
bāñdī aage biibī khaḌī
nirādhār kī le kar chhaḌī
biibī khasm kī chhātī par chaḌhī
taiñ baḌā kyā maiñ baḌā
mere aage taiñ khaḌā
maiñ nahīñ maiñ nahīñ
aalam chhāyā mere guru
gyānī kuuñ gyaan lagā.ūñ
lobhe āñdhe kū uḌā.ūñ
phuñk maarū to jā jā jā
bodh ke pahāḌ par jā
bachyā jāhāñ aatā nahīñ tāhāñ jyā
mere saddgurū daatā kū sharan jyā
mere saddgurū daatā itnī sī lakrī
muum mantar haat mo pakarī
jīdar daura uudar daurī
pher dekhe to merī mere saat
dekh abī karūñgā khabūtar kā tamāsha
bin par se uḌtā hai kaisā
khel khelte avidy ke khalite meñ ghusā
bāher kaise āvegā
aav be aav bāhere aav
jise nahīñ haat nā paav
jise nahī gaañv na Thāñv
jise nahīñ ruup rekhā gaañv
bhaav nā abhāv kachhu nahīñ
dhīre dhīre terā b mantar bolūñ
liñg deh kī gāñTh kholūñ
ek baar aisā khel khelūñ
ke mere baḌe baḌe khele the
hā to ek ek ke do
do ke tiin tiin ke chaar
chaar ke pāñch pāñch ke pachīs pachīs ke chhabbīs
chhabbīs kā ek
ek bī nahīñ to ekā janārdhan dekh
aadi purush nirgun niradhaar ki yaad kar
mere guru parwardigar ki yaad kar
jinne maya ajab banai
us wastad ki yaad kar
gaibi KHajina hum ne diya
us saheb ki yaad kar
sant mahant ki yaad kar
guni gunwant ki yaad kar
jog jugat ka bandha toDa
sham dam ka sir par jamla chhoDa
samta jo hi suhawe tura
guru garuDi bir pura
nain chir ke painhi mudra
kan phaD ke khaye nidra
anhad dhawni dhunak baje
nag-sur dhunuk garje
chal chal chal
niranjan jangal ke jiwDe
khelna hoy to ulaT drishTi se khel
aabi karunga tera tamasha
pail teri munDi kaTunga
sap sab bhule bichu kiDe
parpanch ke koThari mein aake paDe
baDe-baDe jaanwar pale
hare lal safet
ujle kale pile bhale be bhala hanDi bag
abhiman jiwDe jhuT muT chipich laDhe
nahin kahun to brahmanD kaTne daure
dekho miya haye hay-hay
Dnkh mara be Dnkh mara
so baD baDe ku nahin utara
jab guru gyan ka lagaya mohara
zahar utara
dekho miya bajegiri widdya khel
hauDhibag baDa albela
hat halawe panw halawe
bhaale bhole lok bhulawe
aa be hanDi bag
bap baDa kya beTa baDa
beTe aage bap khaDa
guru baDa kya chela baDa
chele aage guru khaDa
chela to prem mahel par chaDha
dhani baDa kya chaakar baDa
chaakar aage dhani khaDa
sas baDi kya bahu baDi
bahu aage sas khaDi
bibi baDi kya bandi baDi
bandi aage bibi khaDi
niradhaar ki le kar chhaDi
bibi khasm ki chhati par chaDhi
tain baDa kya main baDa
mere aage tain khaDa
main nahin main nahin
aalam chhaya mere guru
gyani kun gyan lagaun
lobhe aandhe ku uDaun
phunk maru to ja ja ja
bodh ke pahaD par ja
bachya jahan aata nahin tahan jya
mere saddguru data ku sharan jya
mere saddguru data itni si lakri
mum mantar hat mo pakari
jidar daura udar dauri
pher dekhe to meri mere sat
dekh abi karunga khabutar ka tamasha
bin par se uDta hai kaisā
khel khelte awidy ke khalite mein ghusa
baher kaise aawega
aaw be aaw bahere aaw
jise nahin hat na paw
jise nahi ganw na Thanw
jise nahin rup rekha ganw
bhaw na abhaw kachhu nahin
dhire dhire tera b mantar bolun
ling deh ki ganTh kholun
ek bar aisa khel khelun
ke mere baDe baDe khele the
ha to ek ek ke do
do ke tin tin ke chaar
chaar ke panch panch ke pachis pachis ke chhabbis
chhabbis ka ek
ek bi nahin to eka janardhan dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.