ham ko to muyassar nahii.n miTTii kaa diyaa bhii

ghar piir kaa bijlii ke charaaGo.n se hai raushan
shahrii ho dihaatii ho musalmaan hai saada
maanind-e-butaa.n pujte hai.n kaa'be ke barahman
nazraana nahii.n suud hai piiraan-e-haram kaa
har kHirqa-e-saaluus ke andar hai mahaajan
miiraas me.n aa.ii hai unhe.n masnad-e-irshaad
zaaGo.n ke tasarruf me.n ’uqaabo.n ke nasheman

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.