Font by Mehr Nastaliq Web

ai sabaa jaa ke ye sultaan-e-'arab se kahnaa

Anwar Farrukhabadi

MORE BYAnwar Farrukhabadi

    Interesting Fact

    آواز : سکندر شاد قوال۔

    ai sabaa jaa ke ye sultaan-e-'arab se kahnaa

    chuum ke rauze kii jaalii to adab se kahnaa

    assalaam ai aamna biibii ke pyaare assalaam

    assalaam ai shaah-e-dii.n rab ke dulaare assalaam

    ye bhii kahnaa yaa rasuulullaah karam farmaa.iye

    hai.n pareshaa.n ummatii aaqaa madad ko aa.iye

    kahte hai.n ro ro ke saare Gam ke maare assalaam

    zindagii me.n kaash aisaa daur bhii aa.e nabii

    phuuT aapas me.n pa.Dii hai jo vo miT jaa.e nabii

    aur kahe.n sab saath me.n mil kar hamaare assalaam

    yaa mohammad yaa nabii yaa shaah-e-bathaa yaa rasuul

    kiijiye apne Gulaam 'anvar' kaa ye tohfa qubuul

    kahte hai.n sab ummatii aaqaa tumhaare assalaam

    Source :
    • Book : Sikandar Shad Qawwal, Part 1 (Pg. 16)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now