be-sahaaro.n ke sahaare mustafaa ko ho salaam

rahmat-e-’aalam habiib-e-kibriyaa ko ho salaam
haidar-o-hasnain-o-zahraa aa.e jis chaadar tale
al-muzammil shaan vaalii us ridaa ko ho salaam
jin kii 'azmat kaa bayaa.n hai aaya-e-tathiir me.n
ahl-e-bait-e-paak kii shaan-e-’olaa ko ho salaam
jis kaa chehra dekhnaa bhii hai 'ibaadat vo 'alii
murtazaa mushkil-kushaa sher-e-KHudaa ko ho salaam
terii aamad par hue sar KHam sabhii ke hashr me.n
nuur-e-chashm-e-mustafaa terii hayaa ko ho salaam
ai hasan terii firaasat par ho kul daanish nisaar
raahat-e-jaan-e-nabii terii zakaa ko ho salaam
jis kii dil-jo.ii kii ḳhātir ho gayaa sajda taviil
raakib-e-dosh-e-nabii kii us adaa ko ho salaam
taa-dam-e-aaKHir rahaa tujh ko pyaaso.n kaa KHayaal
ai 'alam-daar-e-vafaa terii vafaa ko ho salaam
qaasim-o-’aun-o-mohammad akbar-o-asGar sabhii
Gancha-haa-e-naazniin-o-dilrubaa ko ho salaam
akbar-o-asGar ke laashe dekh kar bhiigii na aa.nkh
karbalaa me.n sabr kii is intihaa ko ho salaam
dii.n bachaane ke liye jab kar diyaa kumba nisaar
mamb'-e-juud-o-sakHaa terii saKHaa ko ho salaam
jaan-o-maal-o-aal de kar zinda-e-jaaved hai.n
ai shahiid-e-karbalaa aisii baqaa ko ho salaam
dekh kar nok-e-sinaa.n par sar teraa bole malak
marhabaa sibt-e-nabii terii anaa ko ho salaam
zer-e-KHanjar kii adaa shabbiir ne aisii namaaz
sab 'aduu kahne lage husn-e-adaa ko ho salaam
mustafaa kii aal kaa jo dard rakhte hai.n 'jaliil'
taa-qayaamat un Gulaamo.n kii vafaa ko ho salaam

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.