salaam ai sayyad-e-jnn-o-bashar anvaar-e-sub.haanii

Muzaffaruddin Saheb
MORE BYMuzaffaruddin Saheb
Interesting Fact
بیادگارِ حضرت رسالتِ مآب محمد مصطفیٰ صلی اللہ علیہ وسلم
salaam ai sayyad-e-jnn-o-bashar anvaar-e-sub.haanii
salaam ai mahram-e-raaz-e-haqiiqat-haa-e-sub.haanii
salaam ai aaftaab-e-do-jahaa.n shaahansh-e-bat.haa
salaam ai taajdaar-e-ambiyaa KHatm-e-rusul shaahaa
salaam ai aamna ke laa'l shaah-e-yusuf-e-saanii
salaam e maz.har-e-nuur-ul-hudaa ai zill-e-sub.haanii
salaam us par ki jo ham be-sahaaro.n kaa sahaaraa hai
salaam us par ki jis kaa naam ’aalam-aashkaaraa hai
salaam us par ki jis kii vaj.h se tauqiir-e-aadam hai
salaam us par ki jis ke vaaste taKHliiq-e-'aalam hai
salaam us par ki hai jis se firozaa.n sham’-e-iimaanii
salaam is par ki jis ke nuur se hai nuur-e-qur.aanii
salaam us par ki jis ke qabl ye duniyaa thii viiraana
salaam us par jis ke peshtar zindaa.n thaa mai-KHaana
salaam us par ki farmaan-e-KHudaa ko jis ne farmaayaa
salaam us par ki jis ne qalb ko iimaa.n se garmaayaa
salaam us par ki jis ke dushmano.n ko e'tiraaf us kaa
salaam us par ki hai jibriil bhii mahv-e-tavaaf us kaa
salaam us par ki laa-saanii hai jo shaan-e-shahanshaahii
salaam us par ki jis ne dushmano.n kii maGfirat chaahii
salaam us par ki jis ne raat ro-ro kar du'aa.e.n kii.n
salaam us par ki jis ne be-vafaa.o.n se vafaa.e.n kii.n
salaam us par ki aisaa gul qayaamat tak nahii.n khultaa
salaam us par ki jis ke qad kaa saaya tak nahii.n miltaa
salaam us par 'araq me.n jis ke pinhaa.n 'itr-o-'ambar hai
salaam us par mashaam-e-jaa.n hai jo zulf-e-payamber hai
salaam us par kiyaa thaa chaa.nd ko jis chaa.nd ne Tuk.De
salaam us par ki jis ke naam par ruuh-e-bilaal ukh.De
salaam us par ki jis ke dam se duniyaa kaa chaman gulshan
salaam us par ki jis ke nuur se marqad mirii raushan
salaam ai sayyad-e-’aalii nasab vaalaa guhar-shaahaa
salaam ai jalva-e-rahmaan ke hadd-e-nazar shaahaa
salaam-e-saaheb-e-hijraa.n nasiib-e-be-navaa lenaa
ba-vaqt-e-vaapsii.n maulaa madiine me.n bulaa lenaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.