salaam us zaat-e-aqdas par salaam us faKHr-e-aalam par

Aziz Warsi Dehlvi
MORE BYAziz Warsi Dehlvi
salaam us zaat-e-aqdas par salaam us faKHr-e-aalam par
ba-har-lahza hazaaro.n jis ke ehsaanaat hai.n ham par
salaam us par azal hii se jo mahbuub-e-zamaana hai
salaam us par ki jis kaa zikr rahmat kaa KHazaana hai
salaam us par laqab paa kar jo KHatm-ul-mursaliin aayaa
salaam us par jo ban kar rahmatul-lil.aalamii.n aayaa
salaam us par mohabbat baahamii ta.aliim hai jis kii
salaam us par KHudaa ke dil me.n bhii taaziim hai jis kii
salaam us par sadaaqat jis pe ab tak naaz kartii hai
salaam us par risaalat jis pe ab tak naaz kartii hai
salaam us par ki jo nabiyo.n me.n sab se hii niraalaa hai
salaam us par ki jis se dono.n-aalam me.n ujaalaa hai
salaam us par jo har insaa.n kii aazaadii kaa haamii thaa
salaam us par jo pahlaa dushman-e-daur-e-Gulaamii thaa

- Book : Kulliyat-e-Azeez (Pg. 166)
- Author : Azeez Warsi
- Publication : Markazi Printers,Chudiwalan,Delhi (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.