Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

sabaa madiine me.n mustafaa se ham be-kaso.n kaa salaam kahnaa

Unknown

MORE BYUnknown

    sabaa madiine me.n mustafaa se ham be-kaso.n kaa salaam kahnaa

    nahii.n hai ko.ii ba-juz tumhaare hamaaraa itnaa payaam kahnaa

    sabaa tuu pahle madiina jaakar rasuul-e-haq se salaam kahnaa

    agar vo meraa salaam le le.n to vasl kaa phir payaam kahnaa

    jagah madiine me.n vo 'ataa ho tumhaare rauze kaa saamnaa ho

    vahii.n pe rahne kii aarzuu hai vahii.n kaa mujh ko Gulaam kahnaa

    mai.n paa-pyaada huu.n yaa mohammad sambhaal liijiye sambhaal liijiye

    ba-juz tumhaare kise pukaare tumhaaraa adnaa Gulaam kahnaa

    fidaa mai.n tere nisaar tujh par tire mai.n sadqe tire mai.n qurbaa.n

    jo kuchh guzartii hai mujh pe haalat sabaa nabii se tamaam kahnaa

    Source :
    • Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 134)
    • Author : Meraj Ahmed Nizami
    • Edition : Second
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now