dar-e-nabii pe ai jaane vaalo miraa bhii un se payaam kahnaa

jo pahu.ncho tum jaaliyo.n ke aage duruud kahnaa salaam kahnaa
na jaane aa.egaa kab bulaavaa na jaane kab hogii phir huzuurii
huzuur furqat me.n aap kii ik ta.Dap rahaa hai Gulaam kahnaa
uThii hai.n taiba kii aur aa.nkhe.n ki ashk un me.n machal rahe hai.n
bayaan karnaa mirii ye haalat ye qissa-e-Gam tamaam kahnaa
sunaa hai KHud aap hai.n bulaate sunaa hai qismat bhii hai.n jagaate
huzuur mere karam bhii jaage.n ki KHud hii ho intizaam kahnaa
agar na ho saath un kii rahmat agar karam na ho un kaa shaamil
na uTh sakuu.ngaa agar giraa to na chal sakuu.ngaa do-gaam kahnaa
ba-roz-e-mahshar mile shafaa'at vahaa.n pe Dhuu.nDe.nge sab sahaare
mire labo.n par rahegaa jaarii huzuur kaa ye naam kahnaa
sunaa jo KHairaat kaa to ‘arsal’ mai.n le ke kashkol aa gayaa huu.n
hai tere is mai-kade kaa charchaa pilaa do haatho.n se jaam kahnaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.