mubaarak ho jadd-e-amjad aap ko pote ke sar sehraa

Najmul Huda Najmi
MORE BYNajmul Huda Najmi
mubaarak ho jadd-e-amjad aap ko pote ke sar sehraa
milaa allaah se un ko naKHl-e-ulfat kaa samar sehraa
KHushaa yaum-e-masarrat raas aa.e sar-ba-sar sehraa
ki baa.ndhe aap ke hai saamne nuur-e-nazar sehraa
dikhaayaa din ye allaah ne ki hai baa.ndhe pisar sehraa
ye taaj-e-kaamraanii hai ba-alfaaz-e-digar sehraa
ba-faiz-e-ahmadullaah aaj KHandaa.n hai gul-e-’ishrat
ko.ii dekhe hasii.n kitnaa hai pote ke sar sehraa
janaab-e-nuur kyuu.n fart-e-masarrat se na jhuum uThe.n
valii ke naKHl-e-hastii kaa hai ye 'aalaa samar sehraa
har ik gul par nigaah-e-ahmad-o-mahmuud shaadaa.n hai
ki hai taabaanii-e-mehr-o-qamar ruuh-e-guhar sehraa
fidaa hotii hai ruuh-e-hazrat-e-anvaar us ruKH par
biraadar kii jabii.n par dekh kar laa'l-o-guhar sehraa
muraad-e-dil milii hai maadar-e-mushfiq ko be-shub.h
pisar tasliim ko aayaa hai sar par baa.ndh kar sehraa
mubaarak ye samaa.n 'manzuur' ko 'mas‘uud' ko yaa-rab
ki bhaanje ke hai sar par dil-kash-o-jaazib-nazar sehraa
hai.n mahv-e-shaadmaanii-o-tarab ‘KHurshiid’-o-‘manzar’ bhii
bajaanaa hai jahaa.n naqqaara-e-fath-o-zafar sehraa
KHushii kii qadr-o-qiimat jaa ke puuchho aaj 'aKHtar' se
ki hai pesh-e-nazar baa.ndhe hu.e laKHt-e-jigar sehraa
jo baa.ndhe sar par nausha ke buzurgo.n me.n 'zafar' sehraa
faroG-e-husn se hai ruu-kash-e-laa’l-o-guhar sehraa
sunahrii Dor me.n kaliyaa.n gu.ndhe.n sub.h-e-musarrat kii
liye hai sar-ba-sar ra.ngiinii-e-shaam-o-sahar sehraa
banaane ko banaa sakte the siim-o-zar kii ik maalaa
magar phuulo.n kaa vo parkhe.n jo hai.n ahl-e-nazar sehraa
qadam lene ko jhuktii hai.n jo la.Diyaa.n un ke miqna.a kii
hu.aa jaataa hai fart-e-josh me.n zer-o-zabar sehraa
ye manzuur-e-KHudaa thaa kaise Taltii kis ko taaqat thii
ki dekhe.n aaj naanii jaan bhii nuur-e-nazar sehraa
mubaarak ho vaduud-e-mohtaram iKHlaas kaa rishta
payaam-e-mehr-o-ulfat hai goyaa KHuld-e-nazar sehraa
vafaa kaa 'ahd peshaanii pe aab-e-zar se likkhaa hai
ki huure.n baa.ndhtii hai.n aaj zarriina ke sar sehraa
kalii sehre kii gul ho gul se ho gulistaa.n yaa-rab
bahaar-e-be-KHizaa.n ho kar rahe jaan-e-pidar sehraa
vufuur-e-kaif se raqsaa.n hai 'najmii' is nasiibe par
ba.ndhaa hai suurat-un-nuur kaa aaj un ke sar sehraa

- Book : Tazkira Muslim shora-e-Bihar-Voll.5 (Pg. 37)
- Author : Hakeem Syed Ahmadullah Nadwi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.