merī aañkh band thī jab talak vo nazar meñ nūr-e-jmāl thā
khulī aañkh to n ḳhabar rahī ki vo ḳhvāb thā ki ḳhayāl thā
meri aankh band thi jab talak wo nazar mein nur-e-jmal tha
khuli aankh to n KHabar rahi ki wo KHwab tha ki KHayal tha
hai vaj.h koī ḳhaas mirī aañkh jo nam hai
bas itnā samajhtā huuñ ki ye un kā karam hai
hai wajh koī ḳhas mirī aañkh jo nam hai
bas itnā samajhtā huñ ki ye un kā karam hai
dil vahī dil hai jo allāh kā jalva dekhe
aañkh vo aañkh jo qudrat kā tamāshā dekhe
dil wahi dil hai jo allah ka jalwa dekhe
aankh wo aankh jo qudrat ka tamasha dekhe
jaan se ho ga.e badan ḳhālī
jis taraf tū ne aañkh bhar dekhā
jaan se ho gae badan ḳhālī
jis taraf tū ne aañkh bhar dekhā
na kisī kī aañkh kā nuur huuñ na kisī ke dil kā qarār huuñ
kisī kaam meñ jo na aa sakī maiñ vo ek musht-e-ġhubār huuñ
na kisi ki aankh ka nur hun na kisi ke dil ka qarar hun
kisi kaam mein jo na aa saki main wo ek musht-e-ghubar hun
shab-e-vasl kyā muḳhtasar ho ga.ī
zarā aañkh jhapkī sahar ho ga.ī
shab-e-wasl kya muKHtasar ho gai
zara aankh jhapki sahar ho gai
vo aañkh mere liye nam hai kyā kiyā jaa.e
use bhī aaj mirā ġham hai kyā kiyā jaa.e
wo aankh mere liye nam hai kya kiya jae
use bhi aaj mera gham hai kya kiya jae
supne meñ aañkh piyā sañg laagī
chauñkī paḌī phir soi na jaagī
supne mein aankh piya sang lagi
chaunki paDi phir soi na jagi
vo chhup gaye to aañkh se taare nikal paḌe
dil gum huvā to ashk hamāre nikal paḌe
wo chhup gaye to aankh se tare nikal paDe
dil gum huwa to ashk hamare nikal paDe
hijāb-e-ruḳh-e-yār the aap hī ham
khulī aañkh jab koī pardā na dekhā
hijāb-e-ruḳh-e-yār the aap hī hum
khulī aañkh jab koī pardā na dekhā
lagā kar aañkh us jān-e-jahāñ se
na hogā ab kisī se āshnā dil
laga kar aankh us jaan-e-jahan se
na hoga ab kisi se aashna dil
aañkh milte hī kisī ma.ashūq se
phir tabī.at kyā sambhālī jā.egī
aankh milte hi kisi mashuq se
phir tabiat kya sambhaali jaegi
us dar-e-faiz se ummīd bañdhī rahtī hai
aur madīna kī taraf aañkh lagī rahtī hai
us dar-e-faiz se ummid bandhi rahti hai
aur madina ki taraf aankh lagi rahti hai
azal se abad tak kabhī aañkh dil kī
na jhapke jhapakne na paa.e to kyā ho
azal se abad tak kabhi aankh dil ki
na jhapke jhapakne na pae to kya ho
khol aañkh apnī dekh ayaañ haq kā nuur hai
har barg va har shajar meñ usī kā zuhūr hai
khol aankh apnī dekh ayan haq ka nur hai
har barg wa har shajar mein usi ka zuhur hai
aah jis din se aañkh tujh se lagī
dil pe har roz ik nayā ġham hai
aah jis din se aañkh tujh se lagī
dil pe har roz ek nayā ġham hai
us aañkh se jis aañkh ne maḳhmūr do-ālam ka.e
merī taraf bhī dekhnā maulā-alī mushkil-kushā
us aankh se jis aankh ne maKHmur do-alam kae
meri taraf bhi dekhna maula-ali mushkil-kusha
karbalā sāmne aatī jo vo lāshe le kar
aañkh to aañkh hai patthar se bhī ristā paanī
karbala samne aati jo wo lashe le kar
aankh to aankh hai patthar se bhi rista pani
be-hijābāna vo sāmne aa ga.e aur javānī javānī se Takrā ga.ī
aañkh un kī laḌī yuuñ mirī aañkh se dekh kar ye laḌā.ī mazā aa gayā
be-hijabana wo samne aa gae aur jawani jawani se Takra gai
aankh un ki laDi yun meri aankh se dekh kar ye laDai maza aa gaya
aañkh un kī phir ālūda-e-nam dekh rahā huuñ
ḳhud par unheñ mā.il-ba-karam dekh rahā huuñ
aankh un ki phir aaluda-e-nam dekh raha hun
KHud par unhen mail-ba-karam dekh raha hun
tohmat-e-bad-nazrī aañkh churāne kā gilā
bahs kiyā chhiḌ ga.ī thī sharh-e-ishārāt kī raat
tohmat-e-bad-nazri aankh churane ka gila
bahs kiya chhiD gai thi sharh-e-ishaaraat ki raat
kahīñ hai aañkh āshiq kī kahīñ dīdār-e-janāñ hai
bahār-e-husn-e-tābāñ meñ tū hī tū hai tū hī tū hai
kahin hai aankh aashiq ki kahin didar-e-janan hai
bahaar-e-husn-e-taban mein tu hi tu hai tu hi tu hai
sayyāñ sañg kas morā laago nayanvā
aañkh lagat nahīñ niiñd paḌat nahīñ
sayyan sang kas mora lago nayanwa
aankh lagat nahin nind paDat nahin
har aañkh kī til meñ hai ḳhudā.ī kā tamāsha
har ġhuncha meñ gulshan hai har ik zarrā meñ sahrā
har aankh ki til mein hai KHudai ka tamasha
har ghuncha mein gulshan hai har ek zarra mein sahra
apnā banā ke ai sanam tum ne jo aañkh pher lī
aisā bujhā charāġh-e-dil phir ye kabhī jalā nahīñ
apnā banā ke ai sanam tum ne jo aañkh pher lī
aisā bujhā charāġh-e-dil phir ye kabhī jalā nahīñ
aañkh uThā.ye dekhat nāhīñ
laaj bharā sharmāyā banrā
aankh uThaye dekhat nahin
laj bhara sharmaya banra
is se pahle aañkh kī putlī kī kyā auqāt thī
tere nuqta dete hī kyā kyā nazar aane lagā
is se pahle aankh ki putli ki kya auqat thi
tere nuqta dete hi kya kya nazar aane laga
Duub jaane kī hidāyat jo kabhī mauj ne dī
aañkh dene ko habāb-e-lab-e-dariyā niklā
Dub jaane ki hidayat jo kabhi mauj ne di
aankh dene ko habab-e-lab-e-dariya nikla
assalām ai haq ke pyāre assalām
aur mohammad ke dulāre assalām
assalam ai haq ke pyare assalam
aur mohammad ke dulare assalam
aañkh khol ke dekho to sab ek zaat se gherī hai
jā se nuur huā hai din ko vā se raat añdherī hai
aankh khol ke dekho to sab ek zat se gheri hai
ja se nur hua hai din ko wa se raat andheri hai
gar aañkh terī hai dekh tū har chiiz ke andar zāhir hai
mahbūb terā Tuk soch to tū har haal se tere māhir hai
gar aankh teri hai dekh tu har chiz ke andar zahir hai
mahbub tera Tuk soch to tu har haal se tere mahir hai
yuuñ aañkh se aañkh meñ milā hai
itnā to mirā dil-o-jigar hai
yun aankh se aankh mein mila hai
itna to mera dil-o-jigar hai
gar kahīñ us ko jalva-gar dekhā
na gayā ham se aañkh bhar dekhā
gar kahīñ us ko jalwa-gar dekhā
na gayā hum se aañkh bhar dekhā
lene vaale apnī āñkhoñ se lagā lete haiñ use
aañkh kā taarā hai sañdal hazrat-e-maḳhdūm kā
lene wale apni aankhon se laga lete hain use
aankh ka tara hai sandal hazrat-e-maKHdum ka
sudh kab rahat mohan ke dekhat
chit kahāñ Thahrat aañkh lagāy
sudh kab rahat mohan ke dekhat
chit kahan Thahrat aankh lagay
jis aañkh ne dekhā hai us aañkh ko dekhūñ
hai us ke sivā kyā tere dīdār kī sūrat
jis aankh ne dekha hai us aankh ko dekhun
hai us ke siwa kya tere didar ki surat
man merī man ye chaav
āñkh-bacholā jivḌā aa hans jaave baaT
man meri man ye chaw
aankh-bachola jiwDa aa hans jawe baT
tū usī kī aañkh kā nuur hai tū usī ke dil kā surūr hai
ki jise buland nazar milī ki jise shu'ūr-e-vilā milā
tu usi ki aankh ka nur hai tu usi ke dil ka surur hai
ki jise buland nazar mili ki jise shu'ur-e-wila mila
kitne kam-zarf duniyā meñ vo log haiñ ik zarā ġham milā aañkh nam ho ga.ī
ġham bhī allāh kī ik baḌī den hai hauslā chāhiye zabt-e-ġham ke liye
kitne kam-zarf duniya mein wo log hain ek zara gham mila aankh nam ho gai
gham bhi allah ki ek baDi den hai hausla chahiye zabt-e-gham ke liye
nigāh vāloñ meñ us kā koī shumār nahīñ
ġham-e-husain meñ jo aañkh ashk-bār nahīñ
nigah walon mein us ka koi shumar nahin
gham-e-husain mein jo aankh ashk-bar nahin
jo Dālūñ nigh-e-tūr de uTThe sho.ala
marī aañkh kuchh chashm-e-mūsā nahīñ hai
jo Dalun nigh-e-tur de uTThe shoala
mari aankh kuchh chashm-e-musa nahin hai
nahīñ kholte aañkh kyuuñ 'benazīr'
vo aatā hai koī udhar dekhiye
nahin kholte aankh kyun 'benazir'
wo aata hai koi udhar dekhiye
ilāhī aañkh kahīñ laage
sotā ye jivḌā jaage
ilahi aankh kahin lage
sota ye jiwDa jage
har aañkh ko hai tirī tamannā
har dil meñ tirī hī aarzū hai
har aankh ko hai teri tamanna
har dil mein teri hi aarzu hai
aañkh jo dekh ho ga.e maġhrūr
dil pukārā hanūz dillī duur
aankh jo dekh ho gae maghrur
dil pukara hanuz dilli dur
lagte hī Thes TuuT gayā sāz-e-ārzū
milte hī aañkh shīsha-e-dil chuur chuur thā
lagte hi Thes TuT gaya saz-e-arzu
milte hi aankh shisha-e-dil chur chur tha
milkar aañkh dil lenā hai bā.yeñ haath kā kartab
sivā is ke bhare haiñ be-shumār asrār āñkhoñ meñ
milkar aankh dil lena hai bayen hath ka kartab
siwa is ke bhare hain be-shumar asrar aankhon mein
aise niThur se kaam paḌo hai
aañkh lagā.ye maiñ jī so ga.ī
aise niThur se kaam paDo hai
aankh lagaye main ji so gai
nahīñ aañkh jalva-kash-e-sahar ye hai zulmatoñ kā asar magar
ka.ī āftāb ġhurūb haiñ mire ġham kī shām-e-darāz meñ
nahin aankh jalwa-kash-e-sahar ye hai zulmaton ka asar magar
kai aaftab ghurub hain mere gham ki sham-e-daraaz mein
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere