aarzū dāram ki mehmānat kunam
jān-o-dil ai dost qurbānat kunam
aarzu daram ki mehmanat kunam
jaan-o-dil ai dost qurbanat kunam
sāġhar kī aarzū hai na paimāna chāhiye
bas ik nigāh-e-murshid-e-mai-ḳhāna chāhiye
saghar ki aarzu hai na paimana chahiye
bas ek nigah-e-murshid-e-mai-KHana chahiye
aarzū ye hai tumhārā āñchal āñkhoñ se lage
kuchh samajhte ho ki ham rote hue aate haiñ kyuuñ
aarzu ye hai tumhaara aanchal aankhon se lage
kuchh samajhte ho ki hum rote hue aate hain kyun
raft yaar va ārzū-e-ū ze-jān-e-man na-raft
naqsh-e-ū az pesh-e-chashm-e-ḳhūñ-fishān-e-man na-raft
raft yar wa aarzu-e-u ze-jaan-e-man na-raft
naqsh-e-u az pesh-e-chashm-e-KHun-fishan-e-man na-raft
dāram hama jā bā-hama-kas dar hama haal
dar dil ze-tū aarzū va dar dīda-ḳhayāl
daram hama ja ba-hama-kas dar hama haal
dar dil ze-tu aarzu wa dar dida-KHayal
aarzū hasrat tamannā mudda.ā koī nahīñ
jab se tum ho mere dil meñ dūsrā koī nahīñ
aarzu hasrat tamanna muddaa koi nahin
jab se tum ho mere dil mein dusra koi nahin
har aañkh ko hai tirī tamannā
har dil meñ tirī hī aarzū hai
har aankh ko hai teri tamanna
har dil mein teri hi aarzu hai
aarzū hai 'vafā' yahī apnī
un ke qadmoñ meñ dam nikal jaa.e
aarzu hai 'wafa' yahi apni
un ke qadmon mein dam nikal jae
aarzū hai ki tirā dhyān rahe tā-dam-e-marg
shakl terī nazar aa.e mujhe jab aa.e ajal
aarzu hai ki tera dhyan rahe ta-dam-e-marg
shakl teri nazar aae mujhe jab aae ajal
terī ulfat sho.abada-parvāz hai
aarzū gar hai tamannā-sāz hai
teri ulfat shoabada-parwaz hai
aarzu gar hai tamanna-saz hai
kahīñ ruḳh badal na le ab mirī aarzū kā dhārā
vo badal rahe haiñ nazreñ mirī zindagī badal kar
kahin ruKH badal na le ab meri aarzu ka dhaara
wo badal rahe hain nazren meri zindagi badal kar
ise bhī nāvak-e-jānāñ tū apne saath letā jā
ki merī aarzū dil se nikalne ko tarastī hai
ise bhi nawak-e-jaanan tu apne sath leta ja
ki meri aarzu dil se nikalne ko tarasti hai
aarzū thī karbalā meñ dafn hote 'arsh' ham
dekhte mar kar bhī rauza hazrat-e-shabbīr kā
aarzu thi karbala mein dafn hote 'arsh' hum
dekhte mar kar bhi rauza hazrat-e-shabbir ka
pahuñch jaatī hai kisī ke gosh-e-dil tak
hamārī aarzū itnī kahāñ hai
pahunch jati hai kisi ke gosh-e-dil tak
hamari aarzu itni kahan hai
ye fareb-e-taskīñ hai tark-e-ārzū ma.alūm
tark-e-ārzū 'maikash' ye bhī aarzū hī hai
ye fareb-e-taskin hai tark-e-arzu malum
tark-e-arzu 'maikash' ye bhi aarzu hi hai
hasrat-o-yās-o-ārzū shauq kā iqtidā kareñ
kushta-e-ġham kī laash par dhuum se ho namāz-e-ishq
hasrat-o-yas-o-arzu shauq ka iqtida karen
kushta-e-gham ki lash par dhum se ho namaz-e-ishq
muddatoñ se aarzū ye dil meñ hai
ek din tū ghar hamāre aa.iye
muddaton se aarzu ye dil mein hai
ek din tu ghar hamare aaiye
us vaqt tak sulagtī rahī us kī aarzū
jab tak dhueñ se saarā badan bhar nahīñ gayā
us waqt tak sulagti rahi us ki aarzu
jab tak dhuen se sara badan bhar nahin gaya
bād-e-rahmat madīna se chaltī rahe
ġhuncha-e-ārzū muskurātā rahe
baad-e-rahmat madina se chalti rahe
ghuncha-e-arzu muskuraata rahe
is aarzū se hazar ḳhū-e-zindagī se hazar
jo tāb-o-tāqat-e-iz.hār-e-lab-kushā.ī na de
is aarzu se hazar KHu-e-zindagi se hazar
jo tab-o-taqat-e-izhaar-e-lab-kushai na de
donoñ jānib agar aarzū vasl kī koī tūfāñ uThā.e to maiñ kyā karūñ
ishq unheñ gudgudā.e to vo kyā kareñ husn mujh ko bulā.e to maiñ kyā karūñ
donon jaanib agar aarzu wasl ki koi tufan uThae to main kya karun
ishq unhen gudgudae to wo kya karen husn mujh ko bulae to main kya karun
aarzū ham nāḳhudā kī kyuuñ kareñ
apnī kashtī kā to afsar aur hai
aarzu hum naKHuda ki kyun karen
apnī kashti ka to afsar aur hai
rahī ye aarzū āḳhir ke dam tak
na pahuñchā sar mirā tere qadam tak
rahi ye aarzu aaKHir ke dam tak
na pahuncha sar mera tere qadam tak
gunah kuchh hor bhī karnā to kar le aarzū mat rakh
nahīñ tere gunāhāñ kuuñ to kachchā hadd-o-shumār āḳhir
gunah kuchh hor bhi karna to kar le aarzu mat rakh
nahin tere gunahan kun to kachcha hadd-o-shumar aaKHir
pūchhte haiñ vo aarzū 'kausar'
dil meñ armāñ ek ho to kahūñ
puchhte hain wo aarzu 'kausar'
dil mein arman ek ho to kahun
ye aarzū hai ki vo nāma-bar se le kāġhaz
balā se phaaḌ ke phir haath meñ na le kāġhaz
ye aarzu hai ki wo nama-bar se le kaghaz
bala se phaD ke phir hath mein na le kaghaz
arabī nahīñ ajamī sahī magar aarzū hai ki 'vārisī'
kabhī apnā naġhma-e-mashriqī maiñ sunūñ navā-e-hijāz meñ
arabi nahin ajami sahi magar aarzu hai ki 'warisi'
kabhi apna naghma-e-mashriqi main sunun nawa-e-hijaz mein
anjuman-sāz-e-aish tū hai yahāñ
aur phir kis kī aarzū hai yahāñ
anjuman-saz-e-aish tu hai yahan
aur phir kis ki aarzu hai yahan
mohabbat meñ sarāpā ārzū-dar-ārzū maiñ huuñ
tamannā dil mirā hai aur mire dil kī tamannā tū
mohabbat mein sarapa aarzu-dar-arzu main hun
tamanna dil mera hai aur mere dil ki tamanna tu
merā dam bhī sama.a meñ nikle
ab yahī hai ik aarzū ḳhvāja
mera dam bhi sama mein nikle
ab yahī hai ek aarzu KHwaja
kalīm baat baḌhāte na guftugū karte
lab-e-ḳhāmosh se iz.hār-e-ārzū karte
kalim baat baDhate na guftugu karte
lab-e-KHamosh se izhaar-e-arzu karte
mileñ bhī vo to kyūñkar aarzū bar aa.egī dil kī
na hogā ḳhud ḳhayāl un ko na hogī iltijā mujh se
milen bhi wo to kyunkar aarzu bar aaegi dil ki
na hoga KHud KHayal un ko na hogi iltija mujh se
tasavvur meñ vo ā.eñge to puurī aarzū hogī
vo mere paas hoñge aur un se guftugū hogī
tasawwur mein wo aaenge to puri aarzu hogi
wo mere pas honge aur un se guftugu hogi
ab to 'sādiq' hai ye aarzū
ishq hī merī manzil bane
ab to 'sadiq' hai ye aarzu
ishq hi meri manzil bane
na nikle jab koī armāñ na koī aarzū niklī
to apnī hasratoñ kā ḳhuun honā is ko kahte haiñ
na nikle jab koi arman na koi aarzu nikli
to apni hasraton ka KHun hona is ko kahte hain
hamārī aarzū dil kī tumhārī jumbish-e-lab par
tamannā ab bar aatī hai agar kuchh lab-kushā tum ho
hamari aarzu dil ki tumhaari jumbish-e-lab par
tamanna ab bar aati hai agar kuchh lab-kusha tum ho
bayān-e-dard-āgīñ hai kahegā jā ke kyā qāsid
hadīs-e-ārzū merī pareshāñ dāstāñ merī
bayan-e-dard-agin hai kahega ja ke kya qasid
hadis-e-arzu meri pareshan dastan meri
chashm-e-haq-bīñ ho chukī hai shād-kām-e-ārzū
toḌtā hai ab tilism-e-jalva-e-bātil mujhe
chashm-e-haq-bin ho chuki hai shad-kaam-e-arzu
toDta hai ab tilism-e-jalwa-e-baatil mujhe
mujhe har-qadam terī justujū mujhe har-nafs terī aarzū
mujhe apnā ġham hai na ġham-e-jahāñ terī shaan jalla-jalāluhu
mujhe har-qadam teri justuju mujhe har-nafs teri aarzu
mujhe apna gham hai na gham-e-jahan teri shan jalla-jalaluhu
sikhā.ī naaz ne qātil ko bedardī kī ḳhū barsoñ
rahī betāb siina meñ hamārī aarzū barsoñ
sikhai naz ne qatil ko bedardi ki KHu barson
rahi betab sina mein hamari aarzu barson
yahī aarzū dil meñ dhartā achhe
ḳhudā suuñ munājāt kartā achhe
yahi aarzu dil mein dharta achhe
KHuda sun munajat karta achhe
lagte hī Thes TuuT gayā sāz-e-ārzū
milte hī aañkh shīsha-e-dil chuur chuur thā
lagte hi Thes TuT gaya saz-e-arzu
milte hi aankh shisha-e-dil chur chur tha
kuchh aarzū se kaam nahīñ 'ishq' ko sabā
manzūr us ko hai vahī jo ho razā-e-gul
kuchh aarzu se kaam nahin 'ishq' ko saba
manzur us ko hai wahi jo ho raza-e-gul
mirī aarzū ke charāġh par koī tabsira bhī kare to kyā
kabhī jal uThā sar-e-shām se kabhī bujh gayā sar-e-shām se
meri aarzu ke charagh par koi tabsira bhi kare to kya
kabhi jal uTha sar-e-sham se kabhi bujh gaya sar-e-sham se
ye aarzū hai ki me.arāj-e-zindagī ho jaa.e
ġhulām kī dar-e-āqā pe hāzirī ho jaa.e
ye aarzu hai ki mearaj-e-zindagi ho jae
ghulam ki dar-e-aqa pe haziri ho jae
tumhāre talvoñ ke aarzū meñ pisī huī hai ghulī huī hai
hinā kī sarsabz pattiyoñ meñ jo laal rañgat chhipī huī hai
tumhaare talwon ke aarzu mein pisi hui hai ghuli hui hai
hina ki sarsabz pattiyon mein jo lal rangat chhipi hui hai
dī sadā ye hātif-e-ġhaibī ne hañgām-e-duā
aarzū puurī 'azīz-e-vārsī' ho jā.egī
di sada ye hatif-e-ghaibi ne hangam-e-dua
aarzu puri 'aziz-e-warsi' ho jaegi
sāhil kī aarzū nahīñ ta.alīm-e-mustafā
ye naav to rozāna hī mañjdhār se huī
sahil ki aarzu nahin talim-e-mustafa
ye naw to rozana hi manjdhaar se hui
na khiltī kalī go mirī aarzū kī
girah un ke band-e-qabā kī to hotī
na khilti kali go meri aarzu ki
girah un ke band-e-qaba ki to hoti
mujhe aish-o-ġham meñ ġharaz nahīñ agar aarzū hai to hai yahī
ki umañg ban ke chhupā rahe koī dil ke parda-e-rāz meñ
mujhe aish-o-gham mein gharaz nahin agar aarzu hai to hai yahi
ki umang ban ke chhupa rahe koi dil ke parda-e-raaz mein
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere