ham rañj bhī paane par mamnūn hī hote haiñ
ham se to nahīñ mumkin ehsān-frāmoshī
hum ranj bhi pane par mamnun hi hote hain
hum se to nahin mumkin ehsan-framoshi
merī zabāñ pe shikva-e-ahl-e-sitam nahīñ
mujh ko jagā diyā yahī ehsān kam nahīñ
meri zaban pe shikwa-e-ahl-e-sitam nahin
mujh ko jaga diya yahi ehsan kam nahin
yā tū ne nazar ḳhīra kar dī ai barq-e-tajallī yā ham hī
dīdār meñ apnī āñkhoñ kā ehsān uThānā bhuul ga.e
ya tu ne nazar KHira kar di ai barq-e-tajalli ya hum hi
didar mein apnī aankhon ka ehsan uThana bhul gae
pilā.e ḳhum pe ḳhum ehsān dekho
mujhe saaqī ne ḳhumḳhānā banāyā
pilae KHum pe KHum ehsan dekho
mujhe saqi ne KHumKHana banaya
tauba kā TūTnā thā ki ruḳhsat huī bahār
ehsān-mand-e-jurm-o-ḳhatā bhī na ho sake
tauba ka TuTna tha ki ruKHsat hui bahaar
ehsan-mand-e-jurm-o-KHata bhi na ho sake
dard minnat-kash-e-darmān-e-masīhā na huā
terā ehsān hai yārab ki maiñ achchhā na huā
dard minnat-kash-e-darman-e-masiha na hua
tera ehsan hai yarab ki main achchha na hua
hotā nahīñ hai sar se mere ye kabhī judā
ehsān māntā huuñ maiñ ehsān-e-pīr kā
hota nahin hai sar se mere ye kabhi juda
ehsan manta hun main ehsan-e-pir ka
uzr kuchh mujhko nahīñ qātil tū bismillah kar
sar ye hāzir hai magar ehsān mere sar na ho
uzr kuchh mujhko nahin qatil tu bismillah kar
sar ye hazir hai magar ehsan mere sar na ho
dil diyā jaan dī ḳhudā tū ne
terā ehsān ek ho to kahūñ
dil diya jaan di KHuda tu ne
tera ehsan ek ho to kahun
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere