mujh ḳhasta-dil kī iid kā kyā pūchhnā huzūr
jin ke gale se aap mile un kī iid hai
mujh KHasta-dil ki id ka kya puchhna huzur
jin ke gale se aap mile un ki id hai
sab se hue vo sīna-ba-sīna ham se milāyā ḳhālī haath
iid ke din jo sach pūchho to iid manā.ī logoñ ne
sab se hue wo sina-ba-sina hum se milaya KHali hath
id ke din jo sach puchho to id manai logon ne
ho ke ḳhush kaTvāte haiñ apne gale
āshiqoñ kī īd-e-qurbāñ aur hai
ho ke KHush kaTwate hain apne gale
aashiqon ki id-e-qurban aur hai
kal ġhair ke dhoke meñ vo iid mile ham se
kholī bhī to dushman ne taqdīr-e-ham-āġhoshī
kal ghair ke dhoke mein wo id mile hum se
kholi bhi to dushman ne taqdir-e-ham-aghoshi
kareñ āh-o-fuġhāñ phoḌeñ-phaphole is tarah dil ke
irāda hai ki ro.eñ iid ke din bhī gale mil ke
karen aah-o-fughan phoDen-phaphole is tarah dil ke
irada hai ki roen id ke din bhi gale mil ke
iid se bhī kahīñ baḌh kar hai ḳhushī aalam meñ
jab se mash.hūr huī hai ḳhabar-e-āmad-e-yār
id se bhi kahin baDh kar hai KHushi aalam mein
jab se mashhur hui hai KHabar-e-amad-e-yar
tujh se milne kā batā phir kaun sā din aa.egā
iid ko bhī mujh se gar ai merī jaañ miltā nahīñ
tujh se milne ka bata phir kaun sa din aaega
id ko bhi mujh se gar ai meri jaan milta nahin
abr tumhāre kuuñ jo hai ba-shakl hilāl-e-īd
mehrāb-e-sajda tā.at-e-ahl-e-safā kahūñ
abr tumhaare kun jo hai ba-shakl hilal-e-id
mehrab-e-sajda taat-e-ahl-e-safa kahun
rind pī-pī ke gale milte haiñ kiyā ek se ek
’iid ka din hai ki ahl-e-ḳharābāt kī raat
rind pi-pi ke gale milte hain kiya ek se ek
’id ka din hai ki ahl-e-KHarabaat ki raat
gale aa ke mil lījiye iid hai
zamāna huā ek muddat huī
gale aa ke mil lijiye id hai
zamana hua ek muddat hui
hājiyoñ ko ho mubārak haj-e-īd
āshiqoñ kā haj-e-akbar aur hai
hajiyon ko ho mubarak haj-e-id
aashiqon ka haj-e-akbar aur hai
ḳhushī hai sab ko roz-e-īd kī yaañ
hue haiñ mil ke bāham āshnā ḳhush
ḳhushī hai sab ko roz-e-īd kī yañ
hue haiñ mil ke bāham āshnā ḳhush
jis roz ki pahuñche hai na.ī koī musībat
us roz terā ḳhūgar-e-ġham iid kare hai
jis roz ki pahunche hai nai koi musibat
us roz tera KHugar-e-gham id kare hai
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere